-
Angel Messengers For Angels?
Ghamidi Sahab ne is video mein (https://youtu.be/yOjZogY14uY?si=NDJr4QroP0www4Po) farmaya ke “Quran Majeed mein jagah jagah ye bataya gaya hai ki, hamne jab bhi kisi qaum ke taraf pegambar bheje hain, to insanon ki taraf insan bheje hain, farishton ki taraf farishte bheje hain aur isi tareeke se jinon ki taraf Jin bheje hain.”
To sawal ye hai ki insan aur Jin ko Allah ne freewill diya hai, is duniya mein unka imtehaan hai to unki taraf pegambar bhejne ka silsila raha hai ye baat pata hai. Lekin farishton ki taraf pegambar bhejne ke baare mein pehli baar sune. Wo to Allah se waqif hain aur unke paas freewill bhi nai hai to ye baat clearly samajh mein nai aayi. Please explain!
Aur “Allah ne farishton ki taraf farishte ko pegambar bana ke bheja hai” is baat ka zikr Quran mein kahan hai?
Sponsor Ask Ghamidi