-
Continuously Sins And Repentance
Ek bat hai Quran Mai Kay jb insan itny gunah krta hai k qabu Mai nh ata to Allah uspr shaitan nafiz krdeta hai ab iska ek mafhoom yeh b hai k pehly sath tha Halka tha ab bhaari par Jayega usi ayat Kay agay hai k phr qayamat k din woh shaitan say kahega k tu boht bura saathi hai. Masla Yahan hai Kay woh kon hoga Kay Jo br br gunaah kre bar br tauba krega kia usky sath b shaitan nafiz hojayega? Dusra yeh Kay insan jab gunah Mai blkul gir Chuka hota hai bahr nh Aya shaitan nafiz rehta hai to barbaad to woh hogaya mgr ab woh zinda q hai Kia jahanamm Mai Jany k lye usky lye koi kasar na reh jaye yaa phr usko tauba ko mohallat hoti hai. Q Kay Quran kehrha hai Kay agr koi insan gunaah mai girrr ho jaye to phr uspr shaitan nafiz hojata hai aur phr shaitan ko woh qayamat Mai kahega k tu boht bura sathi hai to iska mtlb to yahi hua na Kay kspr shaitan nafiz phr woh direct jahannam Mai. To ismai tauba Karne walo ka kia maamla hai?
Sponsor Ask Ghamidi
Sorry, there were no replies found.