Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Ghaz-e-Basar And Its Application When Meeting Relatives

Tagged: ,

  • Ghaz-e-Basar And Its Application When Meeting Relatives

    Posted by MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER on November 6, 2024 at 5:58 pm

    Ghamdi sahab ki meezan lecture me unhone gazz e basar ko is tabeer Kiya hai k,nigah bhar ke na dekha jaye,ya dekhte na raha jaye,khato khaal ka jaisa na liya jaye, mujhe thodi confusion hai meri understanding durust kijiye, bilumum kuch waqt e baad jab mulaqat hoti hai to nigaah bharke dekha jata hai bohot din baad ziyarat hui hai ,koi farba hogya koi dubla hogya koi uncha koi sufaid ye sub cheezin dekhte hai bayan karte hai, to kya ye sab b khat k khaal ka jaiza lene k hukm me hai? Aur jo khushi hoti hai ristedaro ki waqfe k baad mulaqat par us waqt b nigah bhar k dekhte hai khushi ki wajh se ye sab b mamno hai ?

    Umer replied 1 hour, 10 minutes ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Ghaz-e-Basar And Its Application When Meeting Relatives

    Umer updated 1 hour, 10 minutes ago 2 Members · 1 Reply
  • Umer

    Moderator November 6, 2024 at 9:03 pm

    Kisi na-mehram khatoon chahay woh rishtedar hai ya nahi, daikhtay huay nagahon main haya honi chaiyai. Tarnay wali nazar na hoo, jaisay insan apni jinsi taskeen kai liya daikh raha hoo.

    Doosri baat yai kai aisi cheezain daikhtay hii notice main aa jati hain, kai koe kamzoor hogaya hai ya mota hogaya hai, isko khad-o-khal ka jaiza laina nhi boltay. Laikin agar sirf yai daikhnay kai liya special ghoorna par raha hai, toh us sai ijtenab hi karna hoga. Aur agar ghalti sai ya bhool chuk sai ghalat tareeqay sai nigah par gae hai toh hukam yahi hai kai ussay ehsas hotay hi phair laina chaiyai.

    Ghaz-e-Basar sai mutallaiq neechay video main guftugu doobara mulahiza karain, shayad apkay ishqalaat mazeed wazeh hoo sakain:

    https://youtu.be/NQkdJwrrEmE?si=p8Ytry3cOFOzsJ79

You must be logged in to reply.
Login | Register