-
Continuously Sin And Repentance
Assalamualaikum
Mery pichly comment per Mai maazrat chahta hun. Mujhy Quran ka reference Dena chahiye tha. Lihaza Mai apny question ko revise krha hun.
Quran e pak Mai sorha zukhruf ki ayat 36 say 38 Mai ata hai Kay
Jo Rehman ki yad say ankhein band karly to ham us pr ek shaitan mukarrar me dety Hain Jo usay rasty say rokta hai aur insan ko lagta hai Kay woh seedhy rasty pr hai Yahan tak Kay jab woh hamary pas ayega to kahega Kay ayy Kash tujh Mai aur mujh Mai mashriq aur maghrib ka fasla hoya beshak tu boht bura sathi hai.
Mera sawal ghamidi sahb say yeh hai Kay kia insan agr mukammal gumrah hai to kia woh islye zinda hai Kay woh jahanamm Mai Jany ki koi kasar na chory ya phir usky lye tauba ka ek Rasta hai to usay mohallat mli hai. Mgr ksi insan pr shaitan nafiz hojayega to woh jahanamm Mai hi Jayega to phir woh kesy us tauba ko avail kre? Kia esa insan Js pr shaitan nafiz hojaye, uski bhi tauba qabul hojayegi agr woh sachy Dil say kre? Ya phr shaitan Kay nafiz hojany Kay bad usky pas koi moqa nh.
Sponsor Ask Ghamidi