Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Hadees Ki Sahih Definition

  • Hadees Ki Sahih Definition

    Posted by Muhammad Nosha on January 1, 2025 at 3:33 pm

    Assalamualaikum, ghamdi saab khaty hai k hadees jo hai woh historical record hai jo logo ne bayan kia hai .ghamdi saab khty hai hamara pura deen Quran aur Sunaat main hai jabke unki ak video hai jiska title yeh hai”hadees ko manna ku zaroori hai” us main woh khty hai according to Quran sahaba pr lazim tha k unhy agr koi baat(Quran ya sunnat ki translation ya interpretation) samjh nah aye toh woh Hazrat Muhammad (saw) ky pas jaye aur puchy aur phir jo batya jaye us par amal kary lazmi .Ghamdi saab khty hai is liye hum e b hadees parhni chaiye .Sawal ye hai ky agr hadees itni ahem hai toh ghamdi saab phir ye ku khty hai ky pura deen Quran aur sunnat main hai jabky ye khana chaiye pura deen Quran,Sunnat aur hadees main hai ?

    Dr. Irfan Shahzad replied 2 days, 18 hours ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply

You must be logged in to reply.
Login | Register