-
Haq Ka Ma’Eyar
Har sahib e eeman aur sahib e ilm ka dawa hai k uski fikar uska tareqa e istedalal ,uski mahaj hi haq par hai ,khaas taur par agar baat fard se zyada majmooi satah par hoon ! Misal k taur pe barr e sagheer k ma’aroof alim janab ahmed raza khan sahab, inke nazaryat se baarhaan ikhtelaf kiya jata hai ,lekin inki ilmi wusat bhot wasi thi ,chunanche 1000 se zyada kutub ki tasneef inhone ki jisme Qur’an aur sunnat ki tashrreh,fiqh k masail wagaira darj kiye, kaha jata hai inse qabl 100 saal tak jitne bhi ahle ilm guzre hai unsab k Qur’an o sunnat se akhaz fatawe ek taraf rakhien aur
#FATWA E RAZVIA# ek taraf ! Matan ki mazbooti aur kasrat k lihaz se! To Barelvi maktab e fikr k nazdeek,Khan sahab se zyada kisi ne bhi Qur’an o sunnat k kutub ki tasnif nahi ki ! Aalam e islam me sab se zyada kitaabein Deen ki nasbit se hazaar se zaed kisi ne bhi nahi likhin siwae khan sahab k ,aur baat Qur’an o sunnat bilkul mutabiq hai ! Unke nazdeek haq ka yahi ma’eyar hai k ala hazrat ne hazaron kitabein likhien hai ,faqhi the ,
Yaqeenan the ,lekin haq ka mayar asaln kya hai? Jab hum jaise talib e ilm ye sab dekte hai to Haqeeqat me mutassir hote hain, koi shaqs jisne deen par itni mooti aur itni zyada kitabein aur fatawe likhe hai aaj k daur ka koi talib e ilm unse kaise ikhtlaf kar sakta hai!
Sponsor Ask Ghamidi