-
Multiple Interpretation Of Islam
Deen e islam me itne muqtalif aqsam ki tashreehat kyun hai? Jab nusuus se do took sarahat k sath kisi masle ko bayan nahi kiya gaya to in masail par apni zati rai ko hi hukm e ilahi darja kyu diyajjata hai ? Ulama ki aksariyat isi tarah ki shiddat par jama hai ! Jo ulama e ikram khud ko riwayati baate hain unhme bhi kai firqe hai phir us sect me b sub sect ,yani apni hi understanding ko Allah aur rasool k hukm ka darja dekar apne se muqtalif mauqaf rakhne wale ko ,gumrah, kafir,mubtadi’e, kaha jata hai aur apas me salam ko b gunah aur kufr k qareeb samjha jata hai ! Kwah dardi ka masal ya parde ka mard o zan k iqtelaat ka ,raf ul yadain ka ,izaar aur shalwar ka , jamat k sath namaz padna ,in tamam me ulama ka bhut shiddat par mabni mauqaf milta hai ! Is se iqtelaaf imaan kufr ,ya gumrahi hidayat k masle jaisa bataya jata hai !
Aur jo mauqaf jitna mushkil hoga use utna baais e ajar ka darja dete hai,k goya islam harj se bhara hua hai ! Is me Allah rabbul izzat aur uske habib ka ka hukm aur kisi alim ki understanding in dono me farq karna mushkil hojata hai !!
Ek aam musalman kya kare is confusion me? Allah k deen par qaim b rahe sath hi ghuluv aur deen me kami karne se kaise bache?
Sponsor Ask Ghamidi