-
Basic Beliefs Of Islam & Ahlus Sunnah
Hadees e jibrail se hume maloom hua imaniyat kya kya hain!
Ek shaqs jo apne aap ko nabi ki sunnat aur sahaba ki jamaat k aqeede ka paband rakhna chahta hai uske k liye konse aqeede rakhne hain?
Fikar e farahi me firqo ki koi hasiyat nahi
Lekin my jaha rehta hoon waha deobandi , Barelvi,ahle hadees ye teen makatib e fikar khud k sunni hone ka dawa karte hai bawajood ek dusre ko kafir ya kam az kam gumarah kehte hain ! Aur jo in firqawariyat se baraat kare unhe darje aola ka gumrah ! Bhot se nazaryat me mushtark hai ye magar taabeer aur tashreeh k iqtilaf ki wajh se ,ek dusre k mauqaf ko ghalat bayani se ya sanvi nazaryat ko imaan ka darja dekar takfeeer karte hai !!!
Guzarish ye hai @Irfan76 shykh
K koi aqeede ki kitab jo in tamam k darmiyan comman ho? Take my bus baata saku ye ek muhaqqiq hai jo aap tamam k darmiyan comman hain,in dalail ki raushni me my ye ye aqaaid rakhta hoon,izafi jitne b aqeede hai wo maslak k liye khaas hai my unka papand nahi hoon ! Itne hi aqaaid unke the jine aap apna salaf mante ho! Dusre aqaid kaise nabi ko Allah qabar se sab dikhata hai auliya qabar se b duain karte hai ,,ilme hai ,kulli hai juzvi hai ,Allah arsh pe kaisa hai? Yadh aur wajh ka mana kya hai! In sab me pade bagair sida sida jo ummat k sadiyo se chalte aare aqaid hain,jo b imam ki kitab me hai wo please batadein aur wo in sab k nazdeek maqbool ho!
Agar aisa nahi bol sakuga to masjid me aana salam karna dusre ko sab mohal kar rakha hai firqawariyat ne ! Please
Is sawal aur request ko consider kariye @Irfan76 shykh
Sponsor Ask Ghamidi
Sorry, there were no replies found.