-
Huzur Saw Ki Mukhtalif Riyaston Pr Ittemam E Hujjat
Rasul saw ne arab k sath sath bari riyaston pr bhi ittemam e hujjat kia. Aur unpr iqdam pr baad me sahaba ne kia
Mera sawal ye hy k kia ye ittemam e hujjat islie kia gya k arab me jo hakumat bnne jarhi thi. Uske lie baki riyaston ko maghlub krke kamzor kia jae
Ya phir huzur saw ne rasul ki haisiyat se jahan jahan wo pohunch skte thy. Wahan pr khatuut bhej k hujjat tamam ki. Aur ye unki zimmedari thi
Huzur saw ne shah faris ko jo khatt likha us se ye dusri baat hi lgti hy. Jisme unke alfaz hain k “me apko Allah ki dawat ki trf bulata hun kiunke me tamam logon ki trf Allah ka rasul hun, taake hr zinda insan ko khabardar krdun aur inkar krne walon pr Allah ka farman sabit hojae.”
Me ye b puchna chahta hun k sahaba ka iqdam kia bs in hi ilaqon tk tha jahan tk rasul saw ne khatuut bheje. Kia unko is se agay barhne ki ijazat nahi thi?
Aur jo baad me muslim riyasat expand hui. Kia wo ghalat thi
Sponsor Ask Ghamidi