Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Iddah Restrictions For A Widow

Tagged: 

  • Iddah Restrictions For A Widow

    Umer updated 6 months, 1 week ago 2 Members · 9 Replies
  • Umer

    Moderator January 20, 2026 at 6:34 am

    Please see:

    Discussion 109899

    • Mohammad Hasan

      Member January 21, 2026 at 6:38 am

      Mujhe smajh nhi aya thoda simple language me samjha dijye

    • Umer

      Moderator January 21, 2026 at 9:08 am

      Soog ki kaifiyat main makeup Karna, ya chori Zaiwar pehnna munasib nhi hai. Is liya Nabi (sws) nai bh aisay moqon par saadgi ikhtiyar karnay ki talqeen ki hai. Iddat ka time saadgi sai hi guzara jaye.

    • Mohammad Hasan

      Member January 21, 2026 at 10:17 am

      Laikin agar biwi bata deki bache k koi taswaur nhi h to

      Soog k kya mtlb h

    • Umer

      Moderator January 21, 2026 at 10:20 am

      Iska bachay sai talluq nhi hai. Balkay husband ki death ki wajah sai Jo umumi gham ki fiza banti hai uska lehaz karkai kaha gaya hai. Aik Ghar main fodgi hue hoo toh wahan aik aurat ka yai sab Karna munasib nhi.

      Agar iddat nhi hai ya khatam hogae hai, us soorat main woh us ghar main bh nhi rahay gi, toh tab woh karsakti hai yai sab.

    • Mohammad Hasan

      Member January 21, 2026 at 10:29 am

      Jo apne phle answer diya ki ek ghar me fautgi huwi to bnao singhar na kre laikin main ye kh rha hoon aesa koi nhi krta ki husband ki death huwi ho aur biwi makeup kre main ye kh rha hoon jo am halat me biwi phne rhthi koi gold ki ek ya do chori ya earings jo am halat me ghar me phanti h wo bhi utarwati h jaise husband death hoti h

      Aur dusra jaise apne kha ki iddat nhi h ya iddat puri hogyi to wo us ghar me nhi rhengi iska kya mtlb h kya wo mayake me rhengi sasural chodh kar

    • Umer

      Moderator January 23, 2026 at 9:04 am

      Jo normal halat main pehanti hai woh pehan sakti hai. Laikin agar khud sai woh bh na pehnay toh achi baat hai. Is main Ghar Walon ko zabardasti nhi utarwana chaiyai. Albatta extra makeup, jewelry ya banao singhar nhi Karna chaiyai.

      Agar iddat nhi hai ya khatam hogae hai toh us surat main aurat azad hai aur apna Faisla khud kar sakti hai kai Kahan rehna hai.

  • Mohammad Hasan

    Member January 23, 2026 at 9:19 am

    Ye bataiye agar wo aurat shadi nhi Krna chahti to uske bache se h aur ab shohar khtm hogya to wo sasural me hi rahengi na aur uska marzi h to

    • Umer

      Moderator January 23, 2026 at 9:27 am

      Agar shohar nai uskai naan-o-nafqay kai liya aik saal ki wasiyat ki hai Quran kai mutabiq (Quran 2:240), phir toh woh lazman wahen rahay gi. Laikin agar koe wasiyat nhi ki toh phir bahmi razamandi sai agar koe maamla tai hoojata hai toh Waisay kar saktay Hain. Laikin us surat main aurat par koe pabandi nhi.

You must be logged in to reply.
Login | Register