-
Talaq Issue
Assalamualaikum sir.
Mujy Ghamdi saheb ki aik video mili jismy thori tasali hui hai mujy. Darasal mamla bohat hi complex hai.
2023 main meri saas k sath or wife k sath lrai hui. Saas phone py thi or wife samy bethi thi. Gali gloch tak hogya to main shdeed gusy ki halat m 3 dafa keh diya jaa tujy talaq talaq talaq.
Usky bad hafty bad ruju hogya kiu k main kafi jaga suna k aik hi hui h.
2- February 2024 main aik dfa phr msla bht khrab hojata h. Phr main jaky court se sign krdeta hu or mujy ni idea k Union council m b jama krana h. Main nay jama nai kraya. Phr isa doran hum mily b thy bad main.
3- phr august m msla hua m phr court se dusra notice sign krdiya lekin union council ka mujy pta nai tha m jma nai kraya. Phr September 2024 ko wife ko ghar le aya k 3 nai hui hain.
4- 1st October 2026 ko meri or meri biwi ki dubara lrai hogai jispy wo uncha bohat boli ghar k bahir. To m chat se usy keh diya jao tumy 3sri talaq di. Meri neeyat pahly nai thi lekin bol diya
Lekin wife wapis agai kehti m suni ni or ghar walo nay kaha 60 bndo ko khana khila do.
Mery 2 bety hain, ik 5 sal ka hony wala h ik 2 saal ka. Main Allah se bohat zada dr raha hu or satisfied nahi hu. Lekin ghamdi saheb ki aik video dekhi jis say tasali hui. Kiu k har koi keh rha h hogai h lekin please iski koi gunjaesh nikal dyn. Kiu k m or biwi nay yehi teh kiya h ainda aisi harkat bacho ki khatir kbhi nai hogi. Mujy iss bary thora guide krdyn. Allah apka hamio nasir ho.
Sponsor Ask Ghamidi