Forums › Forums › Islamic Sharia › Rafayadein In Namaz
-
Rafayadein In Namaz
Posted by Mohammad Hasan on October 2, 2020 at 3:45 amRafulyadein na krne ki daleel kya h hme reference aur kitab k name aur number chahiye hme koi video nhi chahiye hme sirf reference chahiye taki koi hmse pucho to bataske
Umer replied 4 years, 1 month ago 3 Members · 23 Replies -
23 Replies
-
Rafayadein In Namaz
-
Dr. Irfan Shahzad
Scholar October 2, 2020 at 3:50 amکوئی دلیل نہیں۔
-
Mohammad Hasan
Member October 2, 2020 at 3:50 amTo phir ap kyu khthe h ki rasoolallah saw ne kbhi kiya h rafulyadein kabhi nhi
-
Dr. Irfan Shahzad
Scholar October 3, 2020 at 11:42 amآپؐ نے نماز میں جو اعمال اور اذکار مستقل طور پر فرض نہیں ان میں مختلف انداز اختیار کیے ہیں۔ کسی ایک انداز پر اصرار درست نہیں۔
-
Mohammad Hasan
Member October 3, 2020 at 11:52 amApko kaise pta chala ki ki ye mukhtalif andaaz aur kabhi kiya kabhi nhi iska matlb khi padha hoga kisi hadees me hoga wrna apko kaise pta chala ki ye kabhi kiya kabhi nhi ap hi batayie
-
-
Umer
Moderator October 3, 2020 at 2:56 pmDeen saara ijma aur tawatur kai saath poori qatiyat sai hum tak phoncha hai, aur Quran aur Sunnat ki shakal main phoncha hai. Inka maakhiz ijma aur tawatur hai, na kai rawayaat jo akhbar-i-ahad sai hum tak muntaqil hue hain. Hadees ki qatiyat quran aur sunnat sai qaim hoti hai na kai Quran aur sunnat ki qatiyat hadees sai, kyunkai hadees hamain akhbar-i-ahad sai muntaqil hoo rahi hain aur Quran aur Sunnat ummat kai naslon kai ijma aur tawatur sai.
Yai zara ghor talab masla hai aur thori ilmi majlison ka mohtaaj bh. Baraye meharbaani neechay waali videos ko araam sai sunain aur mazeed koe sawaal ho un sai mutalliq toh zaroor poochain. Jab tak aap deen kai maakhiz nhi samajh sakaain gai, tab tak aisi hi kasmakash main mubtala rahain gai:
-
Umer
Moderator October 3, 2020 at 2:56 pm -
Mohammad Hasan
Member October 3, 2020 at 6:09 pmWo to bhai hm sun loge achese
Magar bhai ye batadijye ki na krne ki daleel kya h
-
Umer
Moderator October 3, 2020 at 6:41 pmUska ijma aur tawatur kai zariyai na muntaqil hona daleel hai
-
Mohammad Hasan
Member October 3, 2020 at 7:25 pmNa muntaqil hona ki muntaqil hona
Lekin phir sahih hadees ko khthi h wo bhibto sahih h jb sahih hadees agyi to usko manna chahiye k nhi
-
-
Mohammad Hasan
Member October 4, 2020 at 3:26 amAur ek aur sawal jo ap kh rahe h ijma se h rafulyadein na krne ki daleel magar sb log rafulyadein krte h Arab me bhi aur hr jagah bs kuch log h jo nhi krte to ijma se to rafulyadein krne ki daleel milti na krne ki nhi aur jb sahih hadees agyi ijma se bhi thi h ki rafulyadein krna to phir ap hi batayie
-
Umer
Moderator October 4, 2020 at 11:59 amkis hadees main aaya hai kai rafaydain ka hukam diya gaya hai?
baraye meharbaani mujhay bh aagah karain? kisi hadeess main bh hukam nhi hai, kuch logon ka bayan hai kai unhon nai Nabi (Sws) ko kartay daikha, bas itni baat hai. Agar yai deen ka hissa hota toh baqaida hukam ki soorat main hota aur tamam musalmano kai amal main dhal kar tawatur ka hissa ban chuka hota. Jabkai aisa kuch bh nhi hai.
aur sab loog rafaidain nhi kartay, sirf shafii aur hanabala kartay hain. Aaj kal salafi keh saktay hain aap.
Unkai rafaydain karnay ki bunyaad ijma nhi hai balkay hadees hi hai, kyunkai unkai mutabiq hadees bh deen ka mustaqil maakhiz hai.
-
Mohammad Hasan
Member October 4, 2020 at 1:07 pmLekin jinhone dekha h namaz padhte hua to unhone sahih dekhna jaisa h namaz k tariqa h to jb unhone dekha ki ye namaz aese hi padhi jati h to unhone dekha to bataya aur jaise dekha unhone bataya to iska matlb namaz k tariqa hi wahih h jaisa unhone dekha
Aur ek hadees bhi h ki rasoolallah saw ne farmaya ki namaz waise hi padhi jaise tum mujhe dekhto to ab batayie ap kya khte h
-
Umer
Moderator October 4, 2020 at 1:45 pmJab tak aap ijma, tawatur aur akhbar-i-ahad ka farq nhi samjh laitay, tab tak hamara nukta-e-nazar samjhna thora mushkil hai. Baraye meharbaani, thora waqt sarf karain aur upar di gae videos mulaihiza farmayne,
-
Mohammad Hasan
Member October 4, 2020 at 8:43 pmLekin ap ye batayie rasoollah SAW ne farmaya h ki namaz waise padho jaise tm mijhe padhte huye dekhte ho to phir hi batayi e ki hadees me jo bayan hoya h waise dekha to bayan hogya h to ap hi batayie ki wo hadees kya authentic nhi h
-
Mohammad Hasan
Member October 7, 2020 at 5:05 amIsko batayie bhai jo upar h iske 👆
-
Mohammad Hasan
Member October 8, 2020 at 6:31 pmJawab de bhai
-
Umer
Moderator October 8, 2020 at 6:32 pmvideos daikh lii?
-
Mohammad Hasan
Member October 8, 2020 at 6:34 pmIska jawab dijye ki
Rasoollah SAW ne ye farmaya h ki namaz waise padhe jaise tum mujhe dekhte ho to ap batayie wahih hadees me bayan hoya h
-
Umer
Moderator October 8, 2020 at 6:36 pmvideos daikhain pehlay.
-
-
Mohammad Hasan
Member October 8, 2020 at 6:36 pmLekin ap ye batayie rasoollah SAW ne farmaya h ki namaz waise padho jaise tm mijhe padhte huye dekhte ho to phir hi batayi e ki hadees me jo bayan hoya h waise dekha to bayan hogya h to ap hi batayie ki wo hadees kya authentic nhi h
-
Umer
Moderator October 8, 2020 at 6:37 pmvideos daikhain
-
-
Mohammad Hasan
Member October 8, 2020 at 6:38 pmAcha aur jo hmne sawal puche unka jawab de dijye abhi tk nhi mila dikhiiye hmne post kiya h
-
Umer
Moderator October 8, 2020 at 6:39 pmvideos daikhain, uskai baad mazeed lectures bh rakhay huay hain mainay aap kai liya
-
Sponsor Ask Ghamidi
The discussion "Rafayadein In Namaz" is closed to new replies.