Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Deeni Taleem

  • Deeni Taleem

    Posted by Mohammad Hasan on October 4, 2020 at 8:45 pm

    Aur teesri baat ki deen ko sahih aur buniyad se sikhne k liye aur muqammal aur sahih sikhne k liye ghamadi sahab ki koi book recommend krdijye

    Aur hadees kaise samjhe isko bhi batadijye

    Aur ye puchna tha ki jb koi hadees sahih ho to kya us or amal kr skte h

    Mohammad Hasan replied 4 years, 2 months ago 2 Members · 8 Replies
  • 8 Replies
  • Deeni Taleem

  • Faisal Haroon

    Moderator October 4, 2020 at 10:53 pm

    Aap pehle Quran ka sada tarjuma samajh ke pura padhein. Jab mukammal kar lein tow kisi bhi hadees ko Quran ki roshni mein samjha ja sakta hai.

    https://youtu.be/sV3MLuKeuSo

    • Mohammad Hasan

      Member October 5, 2020 at 12:12 am

      Is video me jo ghamidi sahab ne book batayie to usme hm sirf meezan le le ki aur jo batayie h wo bhi le kya sahih rhega sirf meezan kaafi h

    • Mohammad Hasan

      Member October 5, 2020 at 7:51 am

      👆 batayie

  • Mohammad Hasan

    Member October 4, 2020 at 11:04 pm

    Ghamidi sahab k tarjuma padh sakte h aur tafseer bhi

  • Faisal Haroon

    Moderator October 4, 2020 at 11:25 pm

    Ji bilkul. Abhi sirif sada tarjuma padhiye aur achhi tarah hur baat ko samajhne ki koshish kijye. Jab koi sawal paida ho tow thoda ghaur kijiye. Jawab samajh mein na aaye tow nishan laga ke aagay badh jayie. Beshtar auqat agay jawab mil jata hai. Pura Quran padhne ke baad jo sawal bach jayein unhein kisi Quran fehm shakhs se pooch lijye. Allah SWT aap ki madad farmaye.

  • Mohammad Hasan

    Member October 4, 2020 at 11:34 pm

    Agr padhn me koi dikkat aye to isime puch sakte h na

  • Mohammad Hasan

    Member October 4, 2020 at 11:34 pm

    Matlb kuch samajh me na aye to isime puch sakte h

  • Faisal Haroon

    Moderator October 4, 2020 at 11:42 pm

    Ji pooch saktay hein. Magar samajh ke padhnay ka jo behtar tareeqa hai wo aap ko oopar bataya hai. Jab aap apnay sawalon ke jawab khud daryaft karein ge tow aap ko baat acchi tarah samajh bhi ayegi aur khud aitemadi bhi paida hogi. Agar aap hur sawal ka jawab pooch ke hasil karein ge tow aisa nahi ho ga. Ghaur karne ke baad aur koshish karne ke baad bhi jawab na milay tow poochne mein koi harj nahi.

You must be logged in to reply.
Login | Register