-
Maa R Bhai Ka Rishta
ASSALAMUALIKUM,
Mere walid 12 saal kabal intaqal kar gaye thy. Us k bad meri walidah r mere baray bhai nay mill kr hum 4 chottay behn bhaiyo ki parwariah ki. Meri umar is waqt 28 saal hai jab k baray bhai ki umar 30 saal.
Mera bhai family ki kafi fikar karta hai magar us fikar k dooran aksar wo walidah say badtameezi say bat karta hai. Us ka rawaiya aik baitay k leehaz say bht he na shaista hota hai. Is bat ka idrak usy bhi hai r bht bar us nay maafi bhi mangi magr bat har kuch arsay bad dobarah dohrai jati hai.
Ye sab meri walidah k liye kafi takleef deh hota hai. Main manta hn k aksar ghalti un ki bhi hoti hai magr ye rawaiya ba haisiyat e aulaad bardasht karna bht he mushkil hai.
Mera sawal ye hai k aisi surat e haal main mjhe kia karna chahiye? Maine kafi bar bhai ko samjhanay ki koshish ki magr ye bat bhi karamad sabit nahi hui. Mere liye dono qabal e izaat hain. Barah e karam meri islaah kijiye k aisi surat e haal main mjhe kia karna chahiye kyn k mere liye bardasht karna bht mushkil ho raha hai.
JAZA KAL ALLAH
Sponsor Ask Ghamidi