-
Ibadat
Ye kaha jata hy k ibadat ki asal aajzi aur pasti ko mehsus krna hy. Khuda ki siffat ka shaoor rkh kr uske sth muhabbat aur khof k jazbay k sath dil ka aajiz hona. Is taalluq ka naam ibadat hy. Aur yhe iski asal hy. Phir ata’at iska lazim taqaza hy. Ikhlaqi lihaz se bhi. Mgr ye baat sch hy k taqazay puray kbhi na b hon kisi baat k. Jese ishq ya phr koi aur taalluq. Toh us ki asal khatam nahi hojati.
Toh quran ata’at ki base pr kiun kehta hy k logon ne apni khwasihon apne scholars ko shaitan ko etc etc ilaah bna lia hy. Halaanke wahan wo ajzi aur pasti ka taalluq qaaim nahi hua. Haan ata’at hy. Mgr ata’at ibadat ki asal to nhi hy. Ghamdi sahab ki maulana moduudi ki tabeer pr tanqeed hi is point pr hy k unhon ne ata’at jo zahir hy aur taqaza hy usko asal rkh kr ajzi aur pastii ko secondary krdia jis se saray maslay wajuud me ae. Toh hum quran ki in baton se kia smjhen phir.
Sponsor Ask Ghamidi