-
Fazail E Ahle Bait
Islamic history ki roshni mai hum ye jantay hain k k nabuwat khuda ki taraf say aik tohfa hoti hai. Agar koi nabi banta hai to wo apni zaat main banta hai uskay waldain ya aulaad nhe banti. Na he kisi k nabi ya rasool honay say us k waldain ya aulad ki bakhshish bina hisab kitab hogi. Is zuman main misalain mojood hain jin main nabio k bachay, waldain, biwi khuda ki pakar main aai.
Aik paighamber k status hai k wo khuda ka numainda hota hai. Uski kahi hui baat khuda ki kahi hui baat hoti hai. Usko deen ki sarbulandi k liyay apni family ya dunya ka khiyal nhe hota.
Phir keun hamain bht si ahadees milti hain jin main nabi pak ne hazrat Fatima k baray main kaha k isko satai ga wo mujhay satai ga. Hazrat ali aur Hazrat Hassan , hussain k baray main bhe aesi batain kin. Kia ye apni family ki muhabbat ko deen main shamil karna na hua. Jab k in main say kisi ka b status paighamber ka nhe hai. Nabi k Janay k baad keun unki family ka khiyal karain , ye deeni fariza kesay hua ? Islamic history main pehlay to koi missal nhe milti k nabi ka khandan bagair nabuwat k agay deen ka zamin hoga. Aur criteria he ye hoga k in k khilaf hogai to asal main deen k khilaf ho.
Ye akal sa ari baat nhe lagti.
Mazraat chahta hun k is sawal ko karnay k liyay koi naram alfaz nhe mil rahay thay.
Sponsor Ask Ghamidi