Forums › Forums › Islamic Sharia › Zakat On Rental Property
Tagged: Zakat
-
Zakat On Rental Property
Posted by ashif ahmed on March 30, 2022 at 4:55 amkya kidai ke makan par bhi zakat hota hei agar hei toh yeh bat amm kyo nehi hei kya quran me iska koi bayan hei zakat kis par kitna dena hoga aur hamara kidai ka makan hei toh hamein kitna zakat dena chahiye
Dr. Irfan Shahzad replied 1 year, 2 months ago 3 Members · 14 Replies -
14 Replies
-
Zakat On Rental Property
-
Dr. Irfan Shahzad
Scholar March 30, 2022 at 5:46 amZakat ka qanoon sunnat sy mila hai. Quran main ye Zimni tor aya hai.
Rent per makan diya gea hai to makan pr zakat nahi hoge, us say anay walay rent pr 10% kay hisab say zakat hogr hr month. Usool ye hai ka Zaraey pedaawarr (means of production) per zakat nahi hoti.
-
ashif ahmed
Member March 31, 2022 at 8:46 amaur agar koi business karta ho toh kya unka bhi koi zakat nehi hoga aur 10% kaise mujhe thoda sa reference de taki apne ghar walo jab bhi bataoo toh apna reference de sakoon
-
-
ashif ahmed
Member March 31, 2022 at 3:33 pmaur agar Pani bhi humlog he de kidai ke makano me matlab kharid ke nehi per water boring karke tab bhi 10% hoga ya 5% …?
-
Dr. Irfan Shahzad
Scholar March 31, 2022 at 11:41 pmMaal e Tijaarat per 2.5% kay rate sy zakat hogi, aik lunar saal guzarnay kay baad.
rent kay makaan per zakat nahi or na boring kay pani per koi zakat hogi.
Reference
-
Ashif Ahmed
Member September 4, 2023 at 5:01 amEk aur sawal agar kisi ko makan wirasat me mili ho toh kya uspar 20 % zakat hoga agar woh qirai par de kyki usne toh khud mehnat nehi kiya hoga usko toh wirasat me mili hogi
-
Dr. Irfan Shahzad
Scholar September 5, 2023 at 4:01 amذرائع پیدا وار پر زکوۃ نہیں ہوتی۔ مکان کے کراے پر زکوۃ ہوگی 10 فیصد کے حساب سے اگر وہ ٹیکس کی مد میں آتا ہے۔
No zakat on the means of production. On rent, there will be Zakat at the rate of 10% if the rent falls in the category of tax deduction.
-
Ashif Ahmed
Member September 5, 2023 at 4:04 amMujhe kuch samajh nehi aya matlab
-
Dr. Irfan Shahzad
Scholar September 5, 2023 at 4:15 amjo rent Aya ga sirf us per zakat ada krni hogi. makan pr zakat nahi. rent agr 10,000 aya to 1000 dena hoga. lekn is per zakat tab dena hogi agar itna rent hukumat kay mutabak tax deduction may ata ho.
-
Ashif Ahmed
Member September 5, 2023 at 4:25 am1. Aur agar hukumat ke mutabiq 1 lakh monthly income bhi agar rental house se ho toh uspar koi text nehi toh lya zakat nehi lago hoga ha Lekin government zamin ka text zaror leta hei
2 . Aur mera asal sawal jo tha ki agar rental house jo wirasat me mili ho toh uspar 10 % hoga ya 20% hoga zakat kyki usko toh bina mehnat ke he mil gaya hei kya wirasat ko bhi god gift mana jayega ?
-
Dr. Irfan Shahzad
Scholar September 5, 2023 at 5:00 am1. No zakat.
2. ghar warasat may milay ya ap khud khardein is sy koi farq nahi parta. zakat makan per nahi, rent pr hogi.
-
Ashif Ahmed
Member September 5, 2023 at 5:38 amJi shukriya pehle sawal ka jawab mil gaya
Par dusre sawal mera actually me yehi tha ki agar aisa makan rent par diya gaya ho jo ki khud nehi banaya ho balki wirasat me mili ho
Jispar usne mehnat bhi nehi kiya ho aur paisa bhi nehi lagaya ho usse ane wale income par kinta zakat ada karna hoga
10% ya 20%
Kyki bina mehnat aur paiso ki waha se income ho rahi hei
Aur 20% zakat kin chizo par ek koi example de de
-
Dr. Irfan Shahzad
Scholar September 5, 2023 at 11:22 pmzakat 2 tara hi hai. aik pedawaar ki zakat jis main mehnat or sarmaya dekha jata hai or dosry savings ki zakat jis per 2.5% key hisab say zakat hoti hai.
jo chezein tax ki mad main nahi atein or jo zati istemaal ki hain or jo wo chezin jo pedawaar peda krti hai, jesay makan jis sy rent Ata hai ia mashine jis sy kucy produce hota hai, in chezon pr zakat nahi lgti.
-
-
Ashif Ahmed
Member September 5, 2023 at 5:45 amAur please yeh usul bhi samiha dijiye koi link
Agar hukumat maqan o par text nehi lagata toh unpar zakat bhi nehi hoga??
-
Dr. Irfan Shahzad
Scholar September 5, 2023 at 11:23 pmji nahi hogi zakat. Albatta ap phir bhi dena chahein to dy saktay hain.
-
Sponsor Ask Ghamidi