Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Purification From Splashbacks And Hadith On Punishment For This Kind Of Impurity

  • Purification From Splashbacks And Hadith On Punishment For This Kind Of Impurity

    Posted by ashif ahmed on April 6, 2022 at 12:09 pm

    meine ek ribayat suna tha jisme 2 qabar par azab ho rahe the ek par gibat ke wajeh se aur ek par peshab ke chitein se perhej na karne ki wajeh se .? kya yeh ribayat sahi hei aur agar hei toh muje Aisa lagta hei ki peshab ke chitein toh thodi si wapas ati he hogi jitne bhi perhej karle log aur bohot logo ko pereshani bhi hoti hei is wajah se kyki sab logo ke pas aise facility nehi hoti hei ..aur kya namaz ke liye kapde Pak hona zaroori hei matlab bohot etihat karne ke bad bhi kuch napaki kapdo par lag hee jati hei toilet me jatein waqt aur mere jaise jinko maji kharij hone ki bimari ho har waqt agar kapdo ko dhone jayenge toh pareshani ki bat ho jati hei toh kya bohot etihat karne ke bad bhi agar napaki kapdo per lag jayeh ya bimari ki wajeh se maji kharij hone ke wajeh thodi si napaki kapdo per laga rahe kya un kapdo par namaj ada kar sakte hei …? aur aur napak kapdo ko jab hum dhote hei bucket ya tap water ke niche jo pani un napaki se mix hokar jo chitein kapdo per atein hei woh Pak kehlayega ya napak kyki yeh bat logical nehi lagta aise ho toh har bar chitein girta rahega aur bathroom ko dhona padega warna wadhu karte waqt firse napaki ke chitein kapdo per lagne ka risk hei is barey me rehnummai karein …kyki mujse bohot pani waste hota hei 2 hours Tak bathroom me kapdo aur bathroom ko dhota rehta hu

    Umer replied 2 years, 6 months ago 3 Members · 5 Replies
  • 5 Replies
  • Purification From Splashbacks And Hadith On Punishment For This Kind Of Impurity

    Umer updated 2 years, 6 months ago 3 Members · 5 Replies
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 7, 2022 at 1:52 am

    Hadith main hai ko wo shaks perhaiz or ahtiyaat nahi krta tha, is waja sy azaab hua. us ka behviour is ki waja bana. Apni koshish kay bad bhi ko mamooli napaki lag jae ya rah jae to usay ignore kr dena chaheay. wo is waeed main shamil nahi. Adami pr utna hi bojh dala gea hai jo wo utha sakay.

    • ashif ahmed

      Member April 7, 2022 at 4:28 am

      shukriya aur aisi halat me masjid bhi ja sakte hei ..?

      kyki anjane me agar masjid me thodi si napaki mere wajeh se lag jaye is ki bhi dar laga rehta hei

  • Umer

    Moderator April 7, 2022 at 4:18 pm

    Jahan tak Hadees ka talluq hai, woh azab un yahud ki qabar par thaa jin par itmam-e-hujjat hoo chuka thaa aur woh itmam-e-hujjat waalay azab kai mustahik hoo chukay thaay jiski wajah sai unkai sagheera gunah par bh unhain azab hoo raha thaa. Yai Quran 4:31 aur Quran 6:32 kai mutabiq thaa.

    Tafseel kai kiya Hadith Project ka Neechay diya gaya link mulahiza karain (Hadith no. 22):

    https://www.javedahmedghamidi.org/#!/hadith/6034b1d788d7ed5dab9d3653?articleId=6034bac288d7ed5dab9d36b7

  • ashif ahmed

    Member May 8, 2022 at 3:23 pm

    @UmerQureshi mera ek aur sawal hei agar me thik se toilet paper use kar lu peshab karne ke bad toh mujhe pani ki zarurat nehi hei aur itna kafi hoga private area ko paak karne ke liye toh agar me toilet paper thik se use kar jitna kafi hone ke liye chahiye uske bad paak ho jata hei private area phir paper use karne ke baad me pani bhi use Karu jo ki zyada behtar hei jaise ki meine suna hei paper use karne ke bad pani se bhi istinja karu tab woh pani ke chitein bhi paak honge kyuki pehle hee toilet paper bhi use kar liya aur jaha peshab kara tha waha per thik se pani bhi Baha diya jaye uske bad toh peshab karne ki jagah bhi paak aur toilet paper use karne ke bad agar Pani bhi use Karu behtari ke liye tab uske chitein bhi paak hee honge kyuki pehle paper se bhi thik se istinja kar chuka uske bad pani use Kiya …?

    • Umer

      Moderator May 10, 2022 at 4:06 pm

      Agar apki tasalli aisay hoti hai toh zaror kar lain laikin yai apnay apko billawaja ki mushaqqat main hi dalna hoga.

      Agar aapnai toilet paper use karliya hai toh woh bh kaafi hai, laiking paani ka istemal zayada behtar hai aur zayada pasandeeda bh. Bilawajah apnay apko mushaqqat main mat daalain, laikin apki marzi hai jis par apki tasalli hoo. Jahan tak chenton ka sawal hai woh hum bhot tafseel sai pehlay baat kar chukay hain kai bilawaja weham ki bunyad par cheenton ko napak mat samjhain, han agar apko wazeh tor par koi napaki cheent main nazar aaye toh phir zaroor ussay saaf kar lain.

You must be logged in to reply.
Login | Register