Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Youth And Islam Impurity Transfer To Other Objects

Tagged: 

  • Impurity Transfer To Other Objects

    Posted by ashif ahmed on April 15, 2022 at 4:15 pm

    agar me bathroom ya toilet me jaou aur mosquito ya fly gandi napaki me beth kar mere kapdo aur body me akar bethei kya mere woh hisse napak ho jayega kyki inse bachna bhi asan nehi hei makhi toh nehi hoti hei har waqt per mosquito hamare toilet me hotein hei aksar .

    NXT aur sabse bada question mene kahi padha tha ki lagar mere right hand napak hei aur mere left hand ko touch karu us gile napaki se toh left hand bhi napak ho Jayega isme koi sakh nehi hei per agar mere left hand dry ho jaye aur bad me kisi wet clothes ko tuach karu woh wet clothes bhi napak ho jayega yeh bhi thik hei per ab woh wet clothes kya dusre clothes ko tauch hone se woh bhi napak ho jayega

    Dr. Irfan Shahzad replied 2 years, 7 months ago 2 Members · 5 Replies
  • 5 Replies
  • Impurity Transfer To Other Objects

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 18, 2022 at 4:20 am

    microscopic level ki cheezain ignore kr di jati hain. qu kay deen main muskhil nahi rakhi gai.

    wet napaki transfer ho sakti hai. dry napaki transfer nahi hoti sway ye kay napaki aesi ho jo dry ho kar bhi transfer ho saky jesay cow ka gobar. hath napaak hain to wo jis wet cheez ko lgay gain us hissay ko napaak bana saktay hain.

  • ashif ahmed

    Member April 18, 2022 at 5:44 am

    Matlab mere bhai ki towel bache ki peshab kiya hua napak mattress per woh rakh kar chala jata hei aur kabhi kabhi shower ke bad woh wet towel ko bhi waise hee rakh kar chala jata hai aur bad me wohi towel ko use karta hei hei mein kaha bhi hei bohot per woh sunta nehi bata nehi kya woh kabhi in baton ko seriously lega ya nehi isiliye yeh bhej batiye ki agar mere bhai jo us towel ko use kar raha hei woh agar koi wet chiz ko tauc karenga kya woh bhi napak ho jayega

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 20, 2022 at 3:30 am

    Ap ka kaam Sirf kehna hai. Aml krarana nahi. Towel pr peshaab ka asr Aya hai ya nahi, ye towel ko dakh kr ya smell sy maloom hoga.

  • ashif ahmed

    Member April 23, 2022 at 5:53 pm

    @Irfan76

    haa kehta hu per please mujhe aaj mere sawalon ko jawab jarur de jaise ki pehle bhi dete rahe hein

    1.mera bhai jab bhi bathroom jata hei woh apne kapdo ko yaha waha rakhkar chala ata hei aur woh kabhi kabhi peshab karke istinja nehi karta kabhi kabhi karta hei aur woh Jan nahane ke liye jatein hei kapdo ko bathroom me rakh kar chala ata hei aur pura gila hota hei kya mei usko napak samjhu lekin pura gila hota hei aisa bhi ho sakta hei ki napaki per Pani galib aa chuka ho aur paak ho gaya ho agar uska pant napak tha toh .

    2. aur bucket me pani bhara hota hei kabhi kabhi jab mera bhai naha kar chala jata hei aur pani ka colour halka sa alag dikhta hei per bata nehi hota hei ki pani paak hei ya napak per yeh bhi suna tha pani ka rang change hone per Pani napak hojata hei ..?

    ab hamare yaha paani bohot saf hota hei filter ka pani hota hei thoda halka sa bhi thoda alag dikhe toh doubt hota hei ki napak na ho gaya ho 😑

    lekin bohot halka yellow ya dark type ka nehi hota hei

    aur meine khud apne akhon se bhi nehi dekha hota hei isiliye kya mein is pani ko paak samjhu ya ekdam halka sa bhi change ho jaye aur bata bhi na ho kis wajeh se change hua hei tab bhi napak kehlayega .

    aur ek BAAT smell ka bhi kuch issue nehi hota hei taste ka pata nehi per smell nehi hota hei toh isiliye meine taste ka nehi shocha thik hee hoga

    3 . aur kabhi kabhi bucket me saboon ka paani hota hei like kabhi kabhi face wash kar liya etc. aur doubts ho ki woh napak hei toh kya karein kyki doubt hota hei ki napaki ho sakta hei kyki mere bhai ki towel ka masle lo wajeh se saboon ka pani mil jata hei toh pata nehi chalta napaki hogi ya sirf saboon ka pani hei

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 25, 2022 at 2:32 am

    ye sab doubts hain. apnay bhai sy poch lijeiy kay wo na paaki sy bachta hai ya nahi.

    agr us kay kapdary naapaak hotay hain to wo bas wo jaga napaak hogi jaha wo giray huay hain. agr pani un per ghalib a gea hai to un kp paak smjhain.

    bucket wagiara main chora hua pani aam tor per napaak nahi hota. pani ka colour itni jildi nahi badalta jab tk us main achi maqdaar main kuch or mix na ho gae. agr pani ka rang kisi napaaki ki waja sy bdla hai to us main smell bhi hoge. lekin mashwara ye hai ko doubts clear kijeiy, andaazay lagany sy masla complicated hota hai.

You must be logged in to reply.
Login | Register