-
Meaning Of Of Shukar
Jesa ke main ne apni zindagi se ye jana hai ke astagfar ka matlab ye nahy ke ap tasbeeh ke danon par astagfar parhty rahen balky jis gunah ka oratakab kia hai is ko chorny ki poory justajoo aur jadojehad kar ke us gunah ko apny zindagi se bahir nikal kar phenkny ka nam hai astagfar.
Is ka matlab hai hamara deen poora ka poora practicle par munhasir hai na ke sirf chand alfaz ko zuban se parhny par.
To kia is tarah ka shukar hai jis ke bary main ALLAH rab-ul-izzat ne bar bar Quran pak main kaha hai ke mera shukar ada karo.
Kia shukar ka yahy matlab hai ke shukar alhamdullilah kehna sirf apny zuban se,ya is ka koi practical varriant/form hai.
Sponsor Ask Ghamidi