Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Quran 4:12 – Application Of Word Kalala

  • Quran 4:12 – Application Of Word Kalala

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 13, 2022 at 12:40 am

    Kalala se Murad relative hi le sakte according to this aayat,is discussion ko agar aap easy urdu me samja sakoto kisi had tak samaj payege,

  • Umer

    Moderator August 13, 2022 at 8:53 am

    Agar warasat main sai kuch bach jaye ya marnay walay kai waris hi na hon toh woh kalala rishtadaron main sai kisi ko waris bana sakta hai jaisay kai usaki bhai, behen, uncle, auntie main sai koe bh (agar marnay walay ki aulad na hoo aur sirf bhai behen hon toh woh bhai behen aulad ki jagah lai laitay hain aur asal waris ban jatay hain, laikin aam halaat main woh bh kalala rishtadar hi hotay hain).

    Aur jab un main sai kisi ko namzad kiya jaye ga toh us banday kai agar aur bhai behen hon gai toh unko bh hissa diya jayega. Agar jisko namzad kiya gaya hai uska sirf aik bhai ya behen hai toh us bhai behen ko namzad kiya gaye kalala kai hissay main sai 1/6th diya jayega aur baqi 5/6th usko khud milay ga. Aur agar jisko namazad kiya gaya hai uskay aik sai zayada bhai ya behen hain toh un bhai behenon ko namzad kiya gaye kalala kai hissay main sai 1/3rd milay ga aur baqi 2/3rd usko khud milay ga.

    Jaisay kai agar koe shaks apnay mamu ko namzad karta hai aur us shaks kai aur bh mamu aur khala hon gai toh unhain upar walay asool kai mutabiq hissa milay ga.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 13, 2022 at 9:29 am

    Jazakomullah,mera sawal ye ki tradinal view kalala se Murad wo saks he jiske waliden ya aulad na ho, & according to al bayaan kalala se Murad relative he jisko aap namzad kar sakte he,ye jo different he jisko albayaan me jo arbi language me discussion he,bara-e- karam ye agar asan urdu me samja ye to

    • Umer

      Moderator August 13, 2022 at 10:32 am

      Kalala kai teen maani hain:

      1) woh shaks jis kai walidain aur aulad na hon.

      2) Woh rishtaydari jo waldain aur aulad kai elawa hoo.

      3) Woh rishtaydar jo waldain aur aulad kai elawa hon.

      Traditional view main us sai murad pehla meaning hai jabkai Ghamidi Shaab kai mutabiq dosra aur teesra dono hoo saktay hain. Kalam-e-arab main bh dosray aur teesray ki misalain milti hain, laikin pehlay walay meaning ki nhi milti. Laikin pehla meaning bh grammar kai lehaz sai sahi hai.

      Mazeed yai kai is maani ki tasdeeq khud Surah Nisa verse 11 aur 12 sai bh hoo jati hai.

      Surah Nisa verse 11 aur 12 main aulad, walidain aur zojain kai shares kai baad kaha hai, “yai sab uskai baad jo wasiyat tum nai /ya usnai ki hoo aur jo qarz uskai/ya tumharay zimmay hoo wo ada kardiya hoo“. Laikin kalala wali ayat 12 main kaha hai kai “yai sab uskai baad jo wasiyat ki gae hoo aur jo qarz thaa usay ada kardiya gaya hoo

      Yahan indirect speech hoo gae hai, matlab yahan kalala wali ayat main mukhatib ab wasiyat karnay wala directly nhi raha balkay yahan ab kalala word sai kalala rishtaydar murad hain. Agar yahan bh kalala kai word sai wohi marnay wala shaks murad hota toh wohi jumla istemal kiya jata jo pehlay istemal kiya thaa.

      Mazeed yai kai is maani ki tasdeeq khud Surah Nisa verse 176 sai bh hoo jati hai.

      Traditional meaning tranlsation:

      يَسْتَفْتُونَكَ قُلْ اللَّهُ يُفْتِيكُمْ فِي الْكَلَالَةِ إِنْ امْرُؤٌ هَلَكَ لَيْسَ لَهُ وَلَدٌ

      “log fatwa poochtay hain, kaho kai Allah tumhain kalala [us shaks kai mutalliq jis kai waldain ya aulad na hoo] kai mutalliq hukam daita hai kai jo shaks mar jaye aur uski aulad na hoo toh”….

      Translation by Ghamidi Sahab:

      يَسْتَفْتُونَكَ قُلْ اللَّهُ يُفْتِيكُمْ فِي الْكَلَالَةِ إِنْ امْرُؤٌ هَلَكَ لَيْسَ لَهُ وَلَدٌ

      “log fatwa poochtay hain, kaho kai Allah tumhain kalala ristadaron kai mutalliq hukam daita hai kai jo shaks mar jaye aur uski aulad na hoo toh”….

      Pehlay walay traditonal meaning main agar kalala ka matlab already woh shaks hai jiskai waldain ya aulad na hoo toh baad main doobara yai kehna kai uski aulad na hoo zaban kai asolon kai khilaf hai.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 13, 2022 at 11:37 am

    Jazakomullah,muje ek baat tawjo delati he ki jab brother ya sister aulad ke kayam mukam he ,to agar kalala hi murad le tradinal wala to unke hisse ladka ya ladki jese ho, naki1/3 ke 1/6 ho,

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 13, 2022 at 11:44 am

    Agar kalala ko wirasat me hissedari dena chahe to kitni de sakte he

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 15, 2022 at 4:56 am

    Jab ki insan ko vasiyat ka haq allah ne diya he,iske bawujud ,ristedari ki buniyad par waris banane ki jo baat he uski kya wajah ho sakti he, mean end me to kisi ko kuch dena hi he,to bajaye waris banane ke wasiyat me hi usko kuch de dey

    • Umer

      Moderator August 15, 2022 at 7:22 am

      Uski wajah yai hai kai rishtedari ki bunyad par hissay Allah nai khud muqarrar kar diya hain is wajah sai mehaz rishtedari ki bunyad par wasiyat nhi hoo sakti.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 15, 2022 at 8:05 am

    Mean dur ke mamu ,cha cha etc sab kalala he,inko waris banaye ke bajaye wasiyat me kuch de de,to kya farak pade,mean dene wala to wasiyat kare ya waris banaye,

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 15, 2022 at 8:18 am

    Mean kalala relative ko chahe karib ka ho ya door ka ho une waris hi banaya ja sakta he,aur gair kalala ke liye wasiyat he aesa samje?

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 16, 2022 at 2:15 am

    ???

  • Umer

    Moderator August 16, 2022 at 8:08 am

    Jin rishtadaron kai haq main Allah nai Hissay muqarrar kar diya hain unkai haq main wasiyat nhi hoo sakti rishtadari ki bunyad pai.

    Iskai elawa wasiyat karnay main koe qaid nhi.

    Agar wasiyat kisi kalala rishtadar kai liya ki jati hai toh usmain yai wali taqseem ka qanoon lagu nhi hoga.

    Laikin aslan toh koe wasiyat nhi ki gae kalala rishtadar kai haq main, laikin tarkay main sai kuch bach gaya baqi warison ko dainay kai bad ya phir asal waris mojud hi nhi thay toh kisi kalala rishtaydar ko waris namzad kardiya jaye toh tab yai wali kalala ki taqseem uskai baqi behen bhaiyon par lagu hoo jayegi.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 16, 2022 at 8:23 am

    Jazkomullah,kalala ka jo meaning alhamdolillah humne samjliya, ye meaning quran ne hi aayat no 176 me mehfuz kar liya, kalala ke baki meaning arbi language ke mutabic phir kuch arsa badme develop huwe, according gamdi sir jese ward ki meanig ki tehkik me farmate he, kya isko bhi yuhi samje

    • Umer

      Moderator August 17, 2022 at 7:25 am

      Kalala kai meaning ki taen main kabhi koe masla nhi raha.

      Masla tab paida hua jab rawayati ulema nai kalala ka woh meaning lai liya jo in Ayat kai jumlon ki taleef kai khilaf hai, jabkay ziada maruf maani ko chor diya, jo Ghamidi Sahab nai jab liya toh sari ayat theek sai apni jagah baith gae.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 17, 2022 at 4:00 am

    ??? K

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 17, 2022 at 7:30 am

    Jazakomullah

You must be logged in to reply.
Login | Register