Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Under What Circumstances One Can Do Tayammum

Tagged: ,

  • Under What Circumstances One Can Do Tayammum

    Posted by ashif ahmed on October 29, 2022 at 1:23 pm

    kya bimari mein hum pani ko ignore kar sakte hei wudu istija aur gushal ke liye muujhe allergy ka issue ho gaya hei jisme bohot zyada Sardi aur sukham ho jata hei pani se bhi ho sakta hei isiliye mujhe Janna hei ki agar kabhi wet dreams ho jaye aur thand ki deen me toh dar hota hei isiliye tayammum kar sakte hei aur ham kya kare jo napaki jism aur private parts par laga ho usko kya kaise saf kare pani ke tauch kiye bina ..?

    ashif ahmed replied 2 years ago 2 Members · 6 Replies
  • 6 Replies
  • Under What Circumstances One Can Do Tayammum

    ashif ahmed updated 2 years ago 2 Members · 6 Replies
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar October 31, 2022 at 4:23 am

    Sardi awr Zukam aesa excuses nahi kay us ki waja sy tayammum ki jaey sawae ye k Admi ko ksi bemari ya jaan ka khatra hai.

  • ashif ahmed

    Member November 1, 2022 at 1:44 am

    1.Sardi… ya zukham hone par tayammum nehi kiya ja sakta matlab agar Sardi lagne ka khatra ho toh aur bohot zyada thand ho ki bohot taklif ho toh bhi nehi kiya ja sakta …?

    2. khair mera masla sirf Sardi nehi actually allergic reaction ho jata hei hota hei jisse halat kharab ho jata hei kabhi kabhi medicine bhi kam nehi karta bilkul kuch kar nehi pata sirf sneez ata rehta hei aur internal area chest, throat, , in sab me dard ho jata aur kabhi dard reh jata hei , and ekbar toh mucus ke sath blood bhi nikla is wajah se aur toh mujhe laga tha ki isme tayammum kiya ja sakta hei..

    mera sirf normal Sardi ka masala nehi hei .

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar November 1, 2022 at 1:51 am

    AP key dosary swala ka jawab pehly walay jawab main mojud hai. agr Ap ko lgta hai k ye Ghair mamoli mushaqat bann jati hai to ap tayammaum kr saktay hain.

  • ashif ahmed

    Member November 2, 2022 at 5:08 am

    sorry ekbar phir puch raha hu taki confusion aur doubt na reh jaye

    mere 2nd time jo pucha usme 2nd question jo mere allergic reaction ke bare me pucha uska jawab yeh ki tayammum kar sakte hei . kyuki mujhe bhi lagta hei kabhi kabhi masla ho jata hei toh khud mehsus hone par tayammum kar leta hu .

    aur 1st question jo pucha tha agar Sardi ya cough ho ya kuch bimari na ho lekin bohot zyada mushaqqat ho raha hei toh khud faisla karke tayammum kar sakte hei agar waqai k gair mamooli mushaqqat ho raha hei toh .

    kya mene sahi samjha hei ..?

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar November 2, 2022 at 6:52 am

    Faisla AP nay he krna hota hai. Ghai mamuli mushaqat wohi samjhi jae jisay aam Tor par ghair mamuli mushaqat samjha jata hai. hazrst amr ibn aas nay aik bar ghusal ki zarorat Kay bawojid taymum kar Kay namaz parha di this k sardi sakht thi. Aik sahabi ko is per aetraz hua. Mamla Rasul Allah Kay pas laya gea. Ap my un say pocha k aesa q Kiya. Unho nay kaha k mujah apni Jan ka khatra tha. Ap nay unhen Kuch NAHI kaha.

    Is say ye bhi maloom hota hai k aik situation main do logo ki mukktalif ho sakti hai.

    Faisal AP hi ko krna hai.

  • ashif ahmed

    Member November 2, 2022 at 9:56 am

    ji shukriya mujhe samajh aa gaya

You must be logged in to reply.
Login | Register