Yai istadlal ka aik tariqa iktiyar kiya gaya thaa jiska taluq us zamany kai khas halat aur Ibrahim (sws) ki quom ki zehniyat sai thaa. Yai koe afaqi qanon nhi hai kai hamesha aisay hi kiya jayega. Istadlal hamesha apnay halat aur apni quom ki zehni sakht kai mutabiq hi karna chaiyai.
Jahan tak aiteraz ka sawal hai, uskai jawab main arz hai kai masjid aik amarat hai jahan namaz parhi jati hai, na kai wahan yai kaha jata hai kai khuda ka koe buth hai (‘idol’) jiski ibadat ki jati hai. Ehteram main ussay Allah ka ghar bola jata hai, yai sirf ehteram ki zaban tak hai. Hazrat Ibrahim (sws) ka istadlal yai thaa kai yai jo idols bana kai rakhay huay hain mukhtalif hastiyon kai, in idols ki koe haqeeqat nhi hai, agar koe haqeeqat hoti toh yai hastiyan khamosh na rehti, balkay in idols kai zariyai zaroor kuch karti.
Hamara kehna yai hai kai Khuda ki haqeeqat kisi idol main zam nhi hai, balkay khuda toh hamara khaliq bh hai aur is dunya ka amar bh chala raha, apnay qanoon kai mutabiq, na kai hamari farmaesh kai mutabiq. Hazrat Ibrahim ki tanqid un idols par aur unkai peechay jo ghair haqeeqi hastiyan thii un dono par thii.
Ghamid Sahab writes:
یعنی اگر اُن سے باز پرس کی جائے تو کہہ سکیں کہ اپنے اِسی بڑے سے پوچھ لو کہ اُس نے یہ سب کیوں کیا ہے اور اُن کے پاس اِس کے سوا کوئی چارہ نہ رہے کہ اُسی کی طرف رجوع کریں یا اعتراف کر لیں کہ جن کو وہ خدا بنائے بیٹھے ہیں، وہ اتنے بے بس ہیں کہ نہ اپنے اوپر آئی ہوئی مصیبت کو دفع کر سکتے ہیں اور نہ یہ بتا سکتے ہیں کہ یہ مصیبت کس کے ہاتھوں آئی ہے۔ ابراہیم علیہ السلام نے یہ طریقہ نہی عن المنکر کے لیے نہیں، بلکہ اپنے خاص طریقے پر استدلال کے لیے اختیار کیا ہے، جس پر کوئی اعتراض نہیں کیا جا سکتا۔