Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Epistemology And Philosophy Reality Of Destiny (Taqdir)

Tagged: , ,

  • Reality Of Destiny (Taqdir)

    Posted by MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER on April 3, 2023 at 9:39 pm

    Taqdeer ki tashreeh me ulama me muqtalif aara pai jaati hai

    Chand ulama farmaate hai k taqdeer azal se la tabdeel hai aur uske badalne ki koi gunajaish nahi hai hatmi hai.maslan nikah, zinadagi aur maut,k faisle

    Aur isi ki bina par mazeed ye b likhte hai k kisi maqsoos shaqs se nikah ki dua mangna kufr hai ,wo isliye k insan ki wiladat 50 hazar sal qabl uski taqdeer me uska joda likh Diya Gaya hai aur hoga b usi se,ab agar koi ye dua mange k falan shaqs hi se mera nikah hojae to wo Allah k la tabdeel kamle ka inkar kar raha hai aur use tabdeel hone ka aqeeda rakhta hai ,dua yuon mange k Allah agar ye shaqs wahi hai jise tune meri taqdeer me likha hai to asani kar mere nikah me

    Ispar Qur’an aur ahadees k unke apne dalail hai.

    har kisi ki apni apni rai hai lekin ye wo Wahid rai hai jisme sari kufr ka hukm bata gaya hai.

    Nabi sallallahu alaihi wasallam aur sahaba k a aqeeda kya tha is mamale me bata dein

    Umer replied 1 year, 7 months ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply

The discussion "Reality Of Destiny (Taqdir)" is closed to new replies.

Start of Discussion
0 of 0 replies June 2018
Now