Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Sadqa-e-Fitr (Fitrana)

  • Sadqa-e-Fitr (Fitrana)

    Posted by Mohammad Hasan on April 12, 2023 at 2:56 am

    Jaise bhai deen Quran aur sunnat me h jo fitra ki nuqsan aur lazim h fitra h to bhai ye to deen k hissa h aur ye hadees me milta h to hadees me kuch deen huya ki nhi

    Umer replied 1 year, 8 months ago 2 Members · 10 Replies
  • 10 Replies
  • Sadqa-e-Fitr (Fitrana)

    Umer updated 1 year, 8 months ago 2 Members · 10 Replies
  • Mohammad Hasan

    Member April 12, 2023 at 3:14 am

    Isme ek aur ye h ki kya fitra jo rasolallah ne Ty kiya h jo hadeeso se milta 2.5 kh wheat to whi dena h sirf ki aj k khane ya cash bhi de sakte h aur kitna cash aur wheat bhi de sakte h

  • Umer

    Moderator April 12, 2023 at 1:58 pm

    Sadqa-e-Fitr apni haqiqat kai lehaz kai aik din ka khana hai jo insan khata hai. Hazur (sws) nai apnay waqt kai lehaz sai 2.5 kg anaj ki surat main jari karwa diya thaa laikin muqarrar nhi karwaya thaa. Aaj kal insan apnay lihaz sai jo uska aik din ka khana hai, uskai mutabiq sadqa-e-fitr dai ga.

    Tafseel kai liya daikhain:

    Discussion 82045

  • Mohammad Hasan

    Member April 12, 2023 at 11:54 pm

    Jaise bhai deen Quran aur sunnat me h jo fitra ki nuqsan aur lazim h fitra h to bhai ye to deen k hissa h aur ye hadees me milta h to hadees me kuch deen huya ki nhi
    Aur kya ye Ramzaan me kbhi de sakte h ki Eid k ek din phle chand rat ko aur kya cash bhi de sakte h

    • Umer

      Moderator April 13, 2023 at 2:27 pm

      Ji cash bh dai saktay hain aur eid ki namaz sai pehlay pehlay jab chahay dai dain.

      Sunnat sirf yai muqarrar ki gae hai kai aik shaks ka aik din ka khana hai Sadqa-e-FItr, isqi miqdar insan apni haisiyat kai lihaz sai dai ga. Agar koe daina chahay to 2.5kg kai brabar bh dai sakta hai jaisa hadees main aaya, laikin us main bh insan apni haisiyat daikhay ga kai khajur kai mutabiq ya gandum kai mutabiq apni hasiyat kai lehaz sai jo woh din main khana khata hai utni miqdar ban jaye.

    • Mohammad Hasan

      Member April 13, 2023 at 5:50 pm

      Jaise bhai deen Quran aur sunnat me h jo fitra ki nuqsan aur lazim h fitra h to bhai ye to deen k hissa h aur ye hadees me milta h to
      Nhi mtlb kuch khte h ki sirf Eid k do din ya Chand raat ko dena mtlb Ramzan me chahe jb dede

    • Umer

      Moderator April 14, 2023 at 12:08 pm

      Eid ki namaz sai pehla daina hota hai.

      Dusri baat yai kai iska hukm hadees sai nhi balkay Sunnat sai akhz kiya jata hai.

      Hadees main iskai itlaqat ka zikar hai jaisay 2.5 kg anaj ki surat main daina, laikin aaj ki surat main isko behtar hai cash main dai diya jaye apnay aik din kai khanay ka hisab kar kai.

    • Mohammad Hasan

      Member April 14, 2023 at 2:02 pm

      Bhai Eid k kitne din phle tk de sakte h

    • Umer

      Moderator April 14, 2023 at 2:07 pm

      Ramzan kai ikhtitam par daina hota hai laikin Eid ki namaz sai pehlay pehlay daina hota hai.

    • Mohammad Hasan

      Member April 18, 2023 at 11:45 am

      Bhai hmne ek video me suna h Ghamidi sahab kh rhe the ki Ramzan me kbhi bhi de sakte h to kya char beech me ya shuru e de sakte h bs Eid se phle dena h

    • Umer

      Moderator April 19, 2023 at 4:30 pm

      Ji pehlay bh dai saktay hain laikin Eid ki namaz sai pehlay dain lazmi hai.

You must be logged in to reply.
Login | Register