Forums › Forums › Sources of Islam › Fazilat Of 12 Sunnat Nafl Salah During The Day
-
Fazilat Of 12 Sunnat Nafl Salah During The Day
Posted by Saiyed juned Alimiya on April 13, 2023 at 9:01 amAccording to sahi musalim,din bhar me 12 sunnate namaz mean 12 nafil jo 5 time namaz ke doran padhte he uske badle me jannat me Ghar milega ye Hadis ki fazilat ko kese samje,12 se Jayda padhe to isase jayada milega?
Saiyed juned Alimiya replied 1 year, 7 months ago 2 Members · 12 Replies -
12 Replies
-
Fazilat Of 12 Sunnat Nafl Salah During The Day
-
Umer
Moderator April 13, 2023 at 4:18 pm -
Saiyed juned Alimiya
Member April 13, 2023 at 11:41 pmMean allah ke rasul ki apani risalat ki zimmedari ke lehaz se allah ke rasul ne 12 nafile te ki,aaj ka aam ummati par wo zimmedari nahi,lehaza usko 12 se zyada padhani chahiye,12 se Jayda padhna rasul se aage badhana to na hoga???
-
Saiyed juned Alimiya
Member April 13, 2023 at 11:44 pmIs tarah quran me 14 sujud he,ye allah ke rasul ka response he,agar hum iske alava dusari aayat ko samaj kar sujud ka response kare,mean 50 se kai jayada sujud kar Dale to ye act bhi allah ke rasul se aage badhana nahoga???
-
Saiyed juned Alimiya
Member April 13, 2023 at 11:58 pmMean isi tatwo ki chut ki buniyaad par asi baate milati he ki,salehin me kuch log during day 1000 rakat namaz Ada karte etc,mean balance diet kya ho sakta he aam ummati ke liye??
-
Umer
Moderator April 14, 2023 at 12:23 pmYai sab nafal namaz hain aur inko insan kai apnay zauq pai chor diya gaya hai, agar parhay ga toh izafi sawab milay ga aur agar nhi parhay ga toh koe pooch nhi. Is main insan ko azadi hai kai jitnay marzi nafal ada karay, aur Quran sai zinda talluq kai tor pai 14 sai zayada sajday karay, Laikin agar yai sab insan ki baqi zimmadariyon ki rah main ruqawat banain gai, jaisay ghar walon ki zimmadari ya insan ki apni sehat etc. toh phir yai nawafil sawab kai bajaye jawab dahi ka baes ban jayengai. Is kai elawa koe pabandi nhi.
Mainay toh koe salihen main sai nhi daikha jo 1000 nafal parhta hoo. Nabi (sws) aur Sahaba toh nhi parhtay thaa, baqi saliheen ko main nhi janta.
-
-
Saiyed juned Alimiya
Member April 14, 2023 at 12:43 pmJi jazakomullah,allah amano amaan me rakhe
-
Saiyed juned Alimiya
Member April 14, 2023 at 7:30 pmMean in 12 nafil ke bare me aesa samja ja sakta he ki allah ke rasul ne nabuwat ki zimmedari Ada karte huwe is 12 rakat ko apply Kiya,mean rasul saw ke time management me 12 ke bajaye 14 ya 16 ki bhi koi gunjais na ho gi aesa samje sakte he?
-
Umer
Moderator April 16, 2023 at 4:59 amJi yai wajah bh hoo sakti hai laikin Yai hatmi tor pai kehna bhot mushkil hai kai time mangement ki wajah sai thaa ya kuch aur.
Laikin asul main yahi baat Quran sai bh aur Sunnat sai bh wazeh hoti hai yai kisi bh Nafl Ibadat main is tarah ki qaid nhi lagae gai, isko logon kai amomi zauq par chor diya gaya hai.
-
-
Saiyed juned Alimiya
Member April 16, 2023 at 5:30 amJi jazakomullah 100 times
-
Saiyed juned Alimiya
Member April 17, 2023 at 3:15 amPhir in nafil namazo me muakeda & gair muakeda ki entry kab hui? Iske status ki kya value he?
-
Umer
Moderator April 17, 2023 at 2:14 pmYai ahnaf ki qaim karda taqsim hai, iski koe sharai haisiyat nhi hai:
-
-
Saiyed juned Alimiya
Member April 18, 2023 at 11:41 pmJi jazakomullah
Sponsor Ask Ghamidi