Jahannum khuda kai liya aik haqiqat hai aur uskai ilm main wajud main aa chuki hai. Yai mazi haal insanon ki mehdudiyat hai. Nabi (sws) ko aisay mushahidat karaye jatay thaay, kabhi dikha kar, kabhi isi tarah kisi awaz ko suna kar, habhi sotay huay khawab main aur kabhi jaagtay huay, ya haqeeqat kai tor pai ya tamseel kai tor pai. Ghaliban yai awaz bh Nabi (Sws) ko hi sunaye gae hogi bilkul aisay jaisay qabar main logon ki chekhnay ki awazain sunaye gae thii aap (SwS) ko takay aap (sws) logon ko mutanabbay kar sakain. Chunkay ahadees main rawiyon kai tasarrufat bh hotay hain, toh ghaliban yai bh nabi (sws) ko awaz sunaye gae hogi, laikin sahaba ko bh sunaye jaa sakti hai unkai iman ki mazbuti hai liya takay unhain jahannum kai khaddo khal sai mutalla kiya jaa sakay. Is sai yai lazim nhi aata kai jahannum apnay madi wajud main aa chuki hoo.