-
List Of Haram Things In Religion Other Than Quran 7:33 With Same Basis
Assalamualaikum.
Ghamidi Saheb ne 23 aitrazat series kay Halal o Haram walay hissay main yeh farmaya hai k Kuch Aijaabi ehkaamat se paida honay wali hurmat hain. For example, Rozay ka maqsad hai k insaan ko bhook, or baqi bht saari nafsi attractions se pakeeza krna ya sabar paida krna: Isi ko dekhtay hoay ye hukum khudse paida hojata hai k Mard or aurat aapas main qurbat ikhtiyar nahi karinge Rozay main because ye Rozay k asal maqsad se inheraaf hoga. Isi tarah ki bht c examples us series main di gayi hain.
Or phir Ghamidi Saheb ne ye kaha hai k ye to un ahkamaat k result main paida honay wali hurmat hain.
Lekin asal main/ asalun hurmatain wahi 5 categories wali hain Jo Surah Aaraf ki ayat main bayan hoi hain.
My question: wo 5 hurmatain bhi to Pehlay se mujood hukum Kay nateejay main paida hoti hain na? For example, Allah ko Waahid or Lashareek maanna hai. Ab isse nateeja ye nikla k Shirk ko Haram qarar dia gaya.
Next, for example, logon Kay huqooq pooray ada krnay hain. Ab isse nateeja ye nikla k Haq talfi ko Haram qarar dia gaya. And so on.
Sponsor Ask Ghamidi