-
Understand Principle Of Not Wearing Cross And It'S Resemblance To Other Signs
Assalamualaikum
1- Hum sb jante hain ky cross pehna mamnuh hai… Christianity Cross ki different types hain jaisy agr Greek cross ➕ ki bt krain tu wo bilkul plus sign hota hai aur mathematics ma bhi plus sign hota ha aur St. Andrew’s cross ❌ mathematics ky cross ka similar ha tu agr koe Aisa design pehnta hai tu Kiya wo b mumnuh hai jb ky in cross ki types ki similar aur b meanings hn Kya dekhne Wala yeh he samjhe ga?
2- Beshak yeh mamnuh hain lakin yeh mamnuh kis Asool pe hain Aj Kal yeh fashion k Tor pr boht log pehnte hn different religion ky lakin Beshak yeh Pehna ghalat hai sirf Asool samjhne k lye janna chahti hn… mtlb inko pehne Wala Shirk Kr rha hai? Shirk ko promote Kr rha hai agr wo sirf aik fashion ky Tor pr pehn Raha hai aur niyat shirk krna yah promote krna nahi hai yah Sadd-e-Zariya ky Asool pe…Asal main mamnuh kis Asool pe hai aur Jo kids youth yeh pehnte aj Kal beshak fashion ma he Jo Kabeera gunah Kr rhy hain? Anjane ma he Sahi shirk ko Faroog dy rhy hain
Sponsor Ask Ghamidi