-
Sajda And Ruku In Islam
Assalamualaikum
Maine ALLAH ky Siwa Kisi ko sajda jaiz nai ehtram ka bhi nai is mutaliq discussion parhi hain aik bt waziah nahi ho Pai….Kya farishton ko Adam ko sajda krne ka hukam Jo diya gaya tha wo sajda Kon sa tha mtlb wo namaz Wala sajda tha yah wo ruku tha? Kiun ky yeh bt tu wazih ha Hazrat Yusuf ko Un ky Ghar walon me Jo sajda gya wo ruku tha jis k lye Arabic ma sajde ka lafz he istamal hota hai.
Aur Islam ma namaz Wala sajda tu mama ha ruku b mana hai…lakin Kya ruku ki mumniat Quran ma hai yah Kisi hadith ma ha yah Muhammad S.A.W ne khud mana Kya aur ijma aur tuwatar se wazih ha ky mana hai yah scholars Apne Tor pr mana krte hain ehtiyat ky lye, Mukhtasir ye ky Kahan btya gya ha yeh hukam humre Deen main wo wazih Kr dijye, boht shukria
JAZAK ALLAH
Sponsor Ask Ghamidi