-
Lowering Of Gaze ( Gazz E Basar)
Gazz e basar agar kinaya shewat bhari nazar se parhez karne k liye! To ise kyu lafzi ma’na me lekar bilkul normal human noticing se b roka jata hai? Aur neez ek aur rai b pesh ki jaati hai k pattar ko b dekhna haram hai shehwat k sath, Allah ne sirf opposition gender ko nahi ,balki gaadi banglo aur har muzayyan cheez ko hasrat se dekhne par papndi lagai! .
Aur phir jo riwayaatein pesh ki jaati hai ,
Aurat ko shaaitan asal se zyada muzayyan dikhata hai
mard k liye aurat se badi as azmaish kuch nahi
Dusri Nazar maaaf nahi !
Jo ulama in riwayaat aur ayat e karema ko bilkul sada lekar bas ye kahte hai k sexual desires ko control rakh kar dekho aur maaroof andaz se pesh aao yehi maqbool aur jaiz hai!
Iske muqable me bahot se aur b ulama hai jo is ki nafi karte hai aur bilkul mubalgha karte hai guya shehwat k alawa koi aur cheez aurat ki taraf nahi ho sakti,ya to nikah karke apni shehwat puri karo ya bhaago ,
Aisa tassawaur banaya k hypersexuality ki jao ,kisi ka human beauty admiration b lust hai har har cheez shehwat hi hai, ? Iska aetdaali rasta kya hai?
Sponsor Ask Ghamidi