-
Making Up For Obligatory Fasts Missed In The Past
Meri age 42 years hai…pregnancy, periods and illness ki waja se Mujse Zindagi Mai bhut se rozay miss hogaye Hain…Jin ki roughly tadaad Mene count ki hai Tu 400 ke qareeb hojate Hain….Mera yeh sawal hai kiya yeh sab rozay muje rakhnay hongay…ya phir mai fidya desakte hun…kyun ke mere liye ab yeh possible nahi hai…mere sihet thik nahi hai…mai bhut mushkil se ramazan ke rozay rakh sakte hun…aur jo ramazan mai periods ki waja se choot jate hain…bare mushkil ke sath unki qazaa pure saal mai pure karsakte hun…yeh previous life ke rozay rakhna ab bhut ziada mushkil hain…meharbani farma kar muje Quran aur sunnat ki roshni mai iska answer de…
Sponsor Ask Ghamidi