-
Daur E Nabwi Me Iqtelat E Mardo Zan
Mazhar sahab ki katab me jaha par zarurat k sath sath casual interaction jo Nabi alaihisalam aur sahaba sahabiyat k darmiyan hoti thi wo sab darj hai wohi usool k sath !
Phir ye aisa tassur laya kaha se Gaya k mard k liye aurat fitna hai aurat k liye mard fitna hai ! Aur mahes ek dusre ko ek fitne k daur par dekhna aur ghabrakar rahna ye cheez kyu aain ulama me ibarat me ? Jab k is cheez ko bilkul healthy aur waqar k sath deal Kiya jata tha? Aaj b yehi nazariya maujood hai had take apni bhabiyon aur Chachi mamion ko b mahez ek fitna hai bachna lazim hai emergency puri karo aur saamne se hat jao ,aisa tassur Aaj b hai ? Ye hadeesein unki nazro se nahi guzri? Aisa saqt parde ka hukm akhir aaya kaha se k mardo zan ke darmiyan sirf shehwani talluq ho sakta hai,ya to nikah karke is lust ko pura karo ya phir isolate raho ! Koi gair mahram na majazi bahen ,na wali,na khair khwan hosakti hai,ya aaya kahase?
Sponsor Ask Ghamidi