Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Youth And Islam Gender Interaction & Natural Human Attraction

Tagged: ,

  • Gender Interaction & Natural Human Attraction

    Posted by MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER on November 6, 2024 at 3:55 pm

    Ek clip nazar se guzri jism kuch ulama ghamdi sahab ke mauqaf ko tanqeed karte hue kahre the ,aisa mumkin hi nahi hai kisi baligh mard k liye k wo Musafa kare,khawateen k sath baithe ,baath kare unhe dekhe,bina shehwat ko bhadkae, wo dekhega shehwat se baat karega shehwat se ,hohi nahi sakhta wo kisi aurat ki awaz sune aur shehwat na bhadke, ghamdi sahab jo kahte us se aisa mahsoos hota hai muashre me sub na mard aur hijde hai, warna ek mard k liye mumkin hi nahi wo shehwat k bagair in kamo ko anjam dee,is se to ruka hai Nabi ne ye kah kar ,akhn kaan zaban aur hath bhi zina karte hai!

    Maulvi sahab ki tanqeed sune ke aisa laga jaisa hum me se koi jab ye dawa karta hum kisi ko bahen ya dost samjh kar baat karte hai milte shafqat se ,to hum namard hai ya gair fitri hai hamara rawaiya agar hum shehwat ko ghalib kiye bina milte aur bath karte hain ya koi sexual desire mahsoos nahi karte is dauran!

    Dr. Irfan Shahzad replied 2 months, 1 week ago 3 Members · 9 Replies
  • 9 Replies
  • Gender Interaction & Natural Human Attraction

    Dr. Irfan Shahzad updated 2 months, 1 week ago 3 Members · 9 Replies
  • Umer

    Moderator November 6, 2024 at 9:37 pm

    Istadlal ki samajh nhi aaye.

    Sahaba aur shabiyaat bh aik doosray sai zarrori maamlat main baat kartay thay, isi tarah sahabiyat Nabi (sws) sai sawal poochti theen aur guftugu karti thii. Wahan par yai awaz ka parda kyun nhi karwaya gaya.

    Fazl bin Abbas (sws) wali rawayat sai toh chehray ka parda bh sabit nhi hota balkay Nabi (sws) us aurat kai chehray ki taraf hi daikh kar baat kar rahay thaay aur jab Fazl bin Abbas ki nazar ghoornay wali hogae toh unka chehra hata diya aap (SWS) nai.

    Yai jo ulema ka istadlal paish kiya gaya hai, is kai mutabiq toh burqay main bh aurat ki awaz sun kar aik mard ko control nhi hona chaiyai khud pai. Insan ko apnay ikhlaq aur kirdar ki tehzeeb karni chaiyai, na kai muzaiqa khaiz muqadmay kai difa main muzaiqa khaiz istadlal paish karna chaiyai.

    • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

      Member November 6, 2024 at 10:39 pm

      Aap ki baat se ittefaq karta hoon ,khud ghamdi sahab ka mauqaf b samjh Chuka hoon bohot se ulama similar un jaisa muqaf b rakhte hai is mamle me!

      Magar ye jo kaha gaya kuch ulama ki taraf se k,aap mukhannas ho agar aap ki shehwat nahi bhadakti kisi khatoon se bath karte waqt unhe dekhte waqt, isliye majboor me gunjaish hai baat cheet ki,waran mard sexually active hi rahta hai,

      Aise extime nazariya sun ne baad self doubting hoti hai ,kya humne Jo b mamlat kiye tha apne reletives me baat cheet kya wo sub shehwat hi ki taskeen thi

    • Umer

      Moderator November 6, 2024 at 11:11 pm

      Har waqt toh banda apni biwi sai baat kartay huay bh aisa feel nhi karta, toh kisi na-mehram sai baat lartay huay aik shaori musalman kyun aisa feel karay ga. Aur agar kabhi aisa feel hoo toh us surat main foran ijtinab ka hukam hai.

      Agar koe harkat maazi main shehwat ki taskeen kai liya ki thii, toh yai baat apko koe alim nhi btaye ga, balkay apka zameer btaye ga kai apnay kis niyyat sai daikha thaa ya ghoora thaa. Aur agar aisa waqae hua thaa toh toba karkai agay sai ijtinab karain aisi harkat sai.

    • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

      Member November 7, 2024 at 1:01 am

      Nahi umer bhai aisa Mazi me hua nhi hai kabi,magar baar baar jo ye image bataiye jarahi hai tassur diya ja raha hai k ,shehwat ka na hona gender interaction k waqt k abnormality hai ,aap kisi ke chehre ko kisi ki awaz ko accha ya good mahsoos nahi karsakte bina sexual urge k,yani har emotion ko ye log lust pe mahmool karte hain,iske natije mujh jaisa koi mentally doubts me chale jata hai shayd ye shayd wo shayd ye shafqat bhi lust hai shayd ye accha mahsoos hona koi ya Jameel mahsoos hona koi ye b lust hai, ye nazariya bataya gaya in sahaab ki taraf se k bagair shehwat k mumkin hi nahi hai,ab iske dar me mental illness jaise OCD grional response wagaira face karna padraha hai

    • Umer

      Moderator November 7, 2024 at 9:01 pm

      Allah aap kai liya asaniyan paida karay. Laikin un scholar ki baat bewazan hai. Upar mairay comments dobara parhain, shayad apko koe mazbut daleel mil jaye un main aur apki is soch ko sakun mil sakay. In maamlat main aik had sai zayada nhi soochna chaiyai, warna apni sehat ka beja nuqsan koe aqalmandi nhi hai. Aap ko OCD kai liya medical expert ki madad bh lainee chaiyai.

  • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

    Member November 7, 2024 at 10:23 pm

    Sure umer bhai,

    Ek last question hai,

    Aap ne sahaba aur sahabiyat k interaction k zikar Kiya zaroori muamlaat me ,kya kabi Aisa hua hai jaha interaction need or necessity k bagair casual way me hui ho jaisa k hum apne aizza aqraba se karte hai khandaano me ? Agar aisi koi waqai Hume nahi milta sahaba k sath to wo mamnu rahega hamare liye agar hum norms of decency ko follow karte hue casual interaction kare to?

    • Dr. Irfan Shahzad

      Scholar November 7, 2024 at 11:04 pm

      عہد رسالت میں ایسا ہی ہوتا تھا۔ اس کے لیے ڈاکٹر یسین مظہر صدیقی کی کتاب دیکھیے، رسول اکرم اور خواتین ایک سماجی مطالعہ۔

      اس میں انھوں نے عہد رسالت کے بہت سے واقعات بیان کیے ہیں کہ دیہاتی معاشرت میں مرد و خواتین ایسے ہی تعامل کرتے تھے جیسے آج بھی ہمارے دیہاتوں مین ہوتا ہے۔

  • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

    Member November 8, 2024 at 1:58 am

    @Irfan76 meri urdu thodi se kamzoor hai sheik padne me ,Maine mutalla Kiya hai unki kitaab ka is se qabl be jab aapne tajweez ki,waha par bhi zaruri mamlaat me iqtelat aur baat cheet nazar aayi jiski ijazat kuch riwayati ulama b dete hai,magar aise waqiyat jaha par koi zarurat nahi bus rishtedari me dil joi me apne pan bin buniyad par baithak ya interaction hui jaisa bilumum sub ke khanadano me hota hai o aisa Maine ghaleban nahi padha ,agar my ghalat hoon to islah farmaiye meri

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar November 9, 2024 at 11:39 pm

    اس کتاب کو دوبارہ دیکھیے۔ اس میں یہ سب لکھا ہے۔ وہاں کی معاشرت ایسی ہی تھی جیسے ہمارے دیہات میں ہوتی ہے۔ لوگ ایک دوسرے سے معمول کی بات چیت کرتے تھے۔

    تاہم دین کا حکم اس طرح معلوم نہیں کیا جاتا کہ اس دور میں کیا ہوتا تھا۔ وہاں جو ہوتا تو اسلام سے پہلے سے ہوتا تھا اور اسلام نے اس میں کوئی تبدیلی نہیں کی تھی۔ سوال تب پیدا ہوتا جب اللہ نے اس سے منع کر دیا ہوتا۔ ایسی کوئی ممانعت نہیں ہے۔

You must be logged in to reply.
Login | Register