Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Ghaz-e-Basar And Its Application When Meeting Relatives

Tagged: ,

  • Ghaz-e-Basar And Its Application When Meeting Relatives

    Posted by MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER on November 6, 2024 at 5:58 pm

    Ghamdi sahab ki meezan lecture me unhone gazz e basar ko is tabeer Kiya hai k,nigah bhar ke na dekha jaye,ya dekhte na raha jaye,khato khaal ka jaisa na liya jaye, mujhe thodi confusion hai meri understanding durust kijiye, bilumum kuch waqt e baad jab mulaqat hoti hai to nigaah bharke dekha jata hai bohot din baad ziyarat hui hai ,koi farba hogya koi dubla hogya koi uncha koi sufaid ye sub cheezin dekhte hai bayan karte hai, to kya ye sab b khat k khaal ka jaiza lene k hukm me hai? Aur jo khushi hoti hai ristedaro ki waqfe k baad mulaqat par us waqt b nigah bhar k dekhte hai khushi ki wajh se ye sab b mamno hai ?

    Dr. Irfan Shahzad replied 1 month, 3 weeks ago 3 Members · 9 Replies
  • 9 Replies
  • Ghaz-e-Basar And Its Application When Meeting Relatives

    Dr. Irfan Shahzad updated 1 month, 3 weeks ago 3 Members · 9 Replies
  • Umer

    Moderator November 6, 2024 at 9:03 pm

    Kisi na-mehram khatoon chahay woh rishtedar hai ya nahi, daikhtay huay nagahon main haya honi chaiyai. Tarnay wali nazar na hoo, jaisay insan apni jinsi taskeen kai liya daikh raha hoo.

    Doosri baat yai kai aisi cheezain daikhtay hii notice main aa jati hain, kai koe kamzoor hogaya hai ya mota hogaya hai, isko khad-o-khal ka jaiza laina nhi boltay. Laikin agar sirf yai daikhnay kai liya special ghoorna par raha hai, toh us sai ijtenab hi karna hoga. Aur agar ghalti sai ya bhool chuk sai ghalat tareeqay sai nigah par gae hai toh hukam yahi hai kai ussay ehsas hotay hi phair laina chaiyai.

    Ghaz-e-Basar sai mutallaiq neechay video main guftugu doobara mulahiza karain, shayad apkay ishqalaat mazeed wazeh hoo sakain:

    https://youtu.be/NQkdJwrrEmE?si=p8Ytry3cOFOzsJ79

    • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

      Member November 6, 2024 at 10:52 pm

      Thodi si aur wazahat chahunga ,yehi Jo attributes hai decent jaise koi gora hai lamba hai slim hai inhe dekhte hai na bagair shehwat k aur compliment b karte hai, kya ye sab b khado khal ka jaiza lene me aayega?

    • Umer

      Moderator November 6, 2024 at 11:06 pm

      Nhi yai nhi aayega.

    • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

      Member November 22, 2024 at 3:18 pm

      @Irfan76 iam literally very sorry for asking questions repeatedly, iska simple aur sada matlab kya yahi hai k apni jinsi tazkeen k liye kisi gair mahram ko na dekh jaye? Kyu nigah bharke aap apne gair mahram relatives ko b dekhte hai yani sirf second dekha phir nazar pherli aisa to nahi kiya karte na nigah milakr rakhte hai baat jaari rakhte hai ,ise khushi aur apnepan ka izhar samjhata hai ,, haan agar koi jinsi melan paida hoto nazar pherlte hai , kya ye nigah bhar ke dekhna shehwat k irade se mamno hai?

  • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

    Member November 17, 2024 at 12:20 pm

    @Irfan76 @UmerQureshi Tadabbur e Quran jo ustad amin sahab ki hai apni tafseer me unhone gazz e basar se murad yahi liya hai k nazron ko gair mahram auraton se hatalo unhone shehwat gair shehwat ki nazar ko khaas nahi kiya! Kya ye dusrust.hai?

  • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

    Member November 17, 2024 at 12:46 pm

    Mazeed shiek yousuf al qardawi ne gazz e basar se murad lustful gaze se bachna liya ,Unho ne kaha k necessity & general public intrest requires looking at opposite gender is allowed without lust
    Yaha general interest se murad kya hai?
    Ye b batadein

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar November 18, 2024 at 12:27 am

    وہ ان کا موقف ہے۔ ہمارا موقف آپ کے سامنے پیش کیا جا چکا ہے۔ فیصلہ آپ کو کرنا ہے۔

    • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

      Member November 18, 2024 at 9:17 am

      Ji sheik,samjhne aap hi mauqaf araha hai,mai ye chahra tha in aimma k istedlal aur mauqaf ki ghalati wazeh ki jaye,

      Kyu k ilm aur aql ki raushni me aap ka mauqaf durust nazar aaya par ahtiyatan in hazrat ka ,ka shayd is mamle me Allah saqt hi hai

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar November 26, 2024 at 12:48 am

    ان کے موقف کی غلطی پردہ سیریز مین واضح کی گئی ہے۔

    غض کا مطلب نہ دیکھنا نہیں ہے۔ اس کا مطلب نگاہوں کو بد نظری سے بچانا ہے۔ جنرل انٹرسٹ کا مطلب معمول کے مطابق عورتوں سے بات کرنے کی ضرورتیں ہیں۔ ان میں عورت کو دیکھا جاتا ہے۔ اور عورتیں مردوں کو دیکھتی ہیں۔

You must be logged in to reply.
Login | Register