Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Difference Between Niyyat(intentions) Waswas( Wispers) & Natural Instincts

  • Difference Between Niyyat(intentions) Waswas( Wispers) & Natural Instincts

    Posted by MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER on November 26, 2024 at 2:34 am

    Insan mukallaf kis cheez ka hai? Apne niyyat ka jo irade k sath tae ki hai? Ya phir gair ikhteyari khayalat aur ahsasat ki shiddat ka? Maslan agar mera irada hai k Mai zikar e ialahi karun iman ki mazbuti k liye magar uske barakhs mujhe bechaini aur buuj mahsoos ho to kya is manfi kaifiyat ka mai mukallaf hoon? Isi tarah Mera irada ye ho k mai ek taal mael rakho apne gair mahram relatives se isi dauran agar mere zahen me koi fohash khayal aaye shiddat k sath,OCD se ya kisi b wajh se magar mai phir b rawabit jari rakhun to tab in khayalat ka my mukallaf hon jab k mai khayalat se razi nahi hoon? Aur jo natural instincts hote hai jaise k khauf, shehwat, jo irrelevant jaga par mahsoos hoti hai,maslan aap k paas taqat aur quvvat dono hai phir b gair ikhteyari khauf aata hai logo k samne Jane ya argument karne se ,aur ek cheez sexually appealing to nahi hoti par shehwat bila irada unconsciously paida hoti hai,unki taraf b jihne aap muqadass samjhte hai ya qabil e izzat samjhte hai!

    Gair ikhteyari ahsast ka mukallaf nahi hai koi hubbe rasool aur khushiyat e ilahi me b koi rota hai to ye gair ikhteyari hai to ispar sawab kyu?

    Aisa mahsoos hota hai k Mai gair ikhteyari ahsast aur khayal me aur apni niyyat me faraq karnse qasir hoon!

    Rahnumai farmaiye

    Dr. Irfan Shahzad replied 3 weeks ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Difference Between Niyyat(intentions) Waswas( Wispers) & Natural Instincts

    Dr. Irfan Shahzad updated 3 weeks ago 2 Members · 1 Reply
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar November 30, 2024 at 10:57 am

    کیفیات اور غیر اختیاری خیالات اور اعمال کا انسان مکلف نہیں۔

You must be logged in to reply.
Login | Register