-
Quran 94:5-6–Verses Specific To The Prophet & No Motivation For Common Muslims
Assalamualaikum
Is sorha ki ayat hai
Beshak mushkil Kay bad asaani hai
Jspr ghamidi sahb nay arzz ki Kay yeh ayat Nabi saw Kay lye kahi Gai hai.
Mai maanta hun sorh Ad duhaa bhi Nahi saw Kay baray Mai srf unhi Kay baray Mai hai. Mgr Mai yeh janna chahrha hun Kay agr koi insan tasali Lena chahy Allah ki trf say Jo Kay authentic to Quran hi hai hamary pas jsmai tazaad nahi agr usmai b hame esi ayat Kay baray Mai na Bataya jaye Kay jssay Dil ko tasalli ho KY Allah nay yeh ayat khas ksi b insan k lye kehdi k tmhary is Kam k bad esa hojayega tm kamiyab hojaogy ya kch.
Q Kay zahr hai phr Kafi ayaat Quran ki ham Nabi saw ki taraf hi mansoob karengy Kay jsjs Mai Allah nay tasalli di hai. Esy to mayusi barh jayegi phr ham ammm insano k lye Quran Mai konsy tasalli bakhsh alfaz hai Allah ki trf say? Q Kay insan to chahta hai ek asra ek umeed aur Mai tauheed parast hun mery pas Allah pr tawakkal k ilawa hai bhi kia.
Ghami sahb say guzarish Karen Kay mjhy iska Jawab chahye Mai unka shagird hun mjhy is waqt unky jawab ki zarurat hai yeh mery lye boht zaruri sawal ban gaya hai Mai mayus nahi hona chahta Allah mjhy mayusi say bachaye
Ameen
Sponsor Ask Ghamidi