-
Clarification Of Hasan Ilyas Sahab’S Audio
Mera sawal is audio se related hai https://soundcloud.com/ask-ghamidi/0062-someone-translating-quran-during-congregational-salah/s-JMlqgngyynb?in=ask-ghamidi/sets/ask-ghamidi-questions/s-HwtJReSOvjN
Ye jawab Hasan Ilyas Sahab ne is discussion mein diya tha Discussion 49930
Mera sawal ye hai ki Hasan Sahab ne jo last mein ye kaha ke “ye kaam infiradi tor pe kar sakta hai” to yahan infiradi tor se kya murad hai:
1. Jamaat ki namaaz mein, imam ke piche koi muqtadi Quran utha kar ye sirf apne liye infiradi tor pe kar sakta hai.
2. Sirf Infiradi namaaz mein akele kar sakta hai, jamaat ki namaaz mein nai.
Aakhir mein ye sawal hai ki kya koi muqtadi imaam ke piche, sirf apne liye infiradi tor pe Qur’an ko sunne ke dauran (a) Qur’an ka Arabic text utha kar dekh dekh ke sun sakta hai, (b) aur kya isse aage badh kar Quran ka tarjuma utha kar, jis hisse ki tilawat ho rahi hai usko arbi mein sunne ke saath saath uske tarjuma mein nazar rakh sakta hai taki uska tarjuma aur Quran ka paigaam bhi samajhta jaye. Kyun keh jisko bhi Qur’an ke jo bhi hisse ka tarjuma yaad hota hai, wo namaaz mein uske tilawat ke waqt uske tarjuma ko apne zehen mein laare hote hain.
Sponsor Ask Ghamidi