Ye baat meri aqal aur fitrat ka bayaan hai ke ham aesi application ke use ko galat to nahi keh sakte. Aur aapne bhi isko strictly galat nahi kaha.
Dekhiye namaaz ka apna eik ehtemaam hai, 5 waqt ki namaaz har musalman par waqt ki pabandi ke saath farz hai, log is mein consistent bhi ho jaate hain. Lekin arbi seekhne mein, ya Quran ka tarjuma seekhne mein consistent hona baaz dafa mumkin nai ho pata.
Raha sawaal alag se Quran ka tarjuma seekhna; to imaam kabhi bhi Quraan ke kisi bhi hisse ki tilawat karte hain. Pure Quran ka sahi sahi tarjuma seekhna sab ke liye aasaan aur mumkin nai hai. Aur Quranic Arabic seekh kar eik approximate tarjuma pe dependent hona to sahi nai lagta. Kyun ke bade bade ahle ilm ke tarjuma mein ikhtilaaf ho jata hai. To ham approximate tarjuma mein kese dependent ho jayen. Isse to behtar hai ki arbi zabaan seekhi jaye. Lekin eik umr guzar jaane ke baad, duniya bhar ke mashgooliat mein eik nayi zabaan consistency se seekhna mumkin nai hota. Har koi eik jesa nai hota. Mujhe bht shauk hai arbi seekhne ka lekin consistency kabhi nai aa paya. Agar arbi zabaan seekhne ka ehtemaam ibtidayi taaleem ke zamane mein, school mein hota to achha hota. Lekin mere liye aur bohton ke liye wo waqt to nikal gaya. Aur aaj bhi schools mein is chiz ka ehtemaam nai hota.
Dekhiye mera maqsad namaaz ke protocol ko tabdeel karna nai hai. Balke namaaz ke protocol ko barkaraar rakhte huye namaaz ko understandable banana hai aur namaaz se zyada se zyada fayda uthana hai. Dekhiye waqt ke guzarne ke saath saath hamne masjidon ke farsh ko behtar banaya, wahan qaaleen bichayi, masjidon ko multi storey buildings banaya, mics. aur speakers ka istemaal kiya, aur in chizon ko behtar se behtar kar rahe hain. Ye saari chizen ham logon ne sahulat ke liye ki hai aur naa ki namaaz ke protocol ko change karne ke liye. Isi tarha se ye application namaaz ko understandable banane ke liye eik sahulat peda kar raha hai aur na ki uske protocol ko change kar raha hai. Jabke shayad isse ulti baat kahi ja sakti hai ke namaaz mein Quran ki tilawat ke matlab se be-matlab ho jana, namaaz ke protocol ke khilaaf hai. Shayad is application ke madad se namaaz ke protocol ko behtar tarha se ada kiya ja sakta hai.
Dekhiye Quran ki bht zyada ehmiyat hai. Islaam ke maamle mein Quran: Mezaan hai Furqan hai. Aur shayad isi wajah se 5 waqt ki namaaz mein Quran ki tilawat ko muqarrar kar diya gaya hai taki log is Meezan aur Furqan se behtar se behtar tarike se jude rahe. Aur shayad namaaz mein Surah Fatiha ke baad Quran ki tilawat dusra sabse aham juz hai. Isi pabandi se ham log din mein 5 baar Quran padh lete hain aur sun lete hain warna pata nai khud se kab padhte. Lekin afsos duniye mein kadodon log ise padhte aur sunte to hain lekin begair samjhe. Kya namaaz mein Quran ki tilawat k juz ka haq ada hota hai? Shayad is application ki madad se is juz ka jo bhi haq ada ho raha hai, usse zyada haq ada ho aur arbi ki Qiraat ka protocol bhi barqaraar rahe. Quran ko samajhne ke liye saari ki saari koshishon ko namaaz ke bahar rakh dena theek nai lagta. Namaaz mein Quran ki tilawat ki pabandi ham sab se ye taqaza karti hai ke, isko padhte padhte, sunte sunte, samjha bhi jaye. Aur shayad ye application is mein madad kare aur imaam ki arbi qiraat ka protocol bhi barqaraar rahe. Agar imaam ki arbi qiraat ko tabdeel kiya jata to galat hota.
Kisi ne kaha ke is application ke istemal se jab logon ko Quran ka paigaam samajh mein aane lage ga to wo arbi seekhna band kar denge. Mere khayal se iska ulta hoga. Kyun keh begair is application ke istemal se log kahan zyada arbi seekhte hain. Aur jab is application ke istemal se log Quran samajhne lagenge to shayad phir, Quran se eik attachment peda ho, Quran ko aur samajhne ki koshish karen. Pura Quran samajh kar padhne ki koshish karen aur phir aur deeply samajhne ke liye arbi seekhen. Mere khayal se iske imkanaat zyada hain.
Aur aakhri baat aapne jo last mein kaha ke “khuda ke alfaz aur uske tarjume mein tawajjo taqseem hone ka andesha hai.” Mujhe ye baat theek nai lagri kyun ke jo tarjuma suna aur samjha jaa raha hai wo khuda ke alfaaz ka hi tarjuma hai. Indirectly khuda ke alfaaz pe tawajjo aur badh rahi hai, na ki kam ho rahi hai aur na ki taqseem ho rahi hai. Agar mujhe tilawat samajh mein na aaye aur ham kuchh aur sochne lage tab tawajjo taqseem hogi, jo ke aksar logon ke saath hota hai. Kyun ke hamara zehen hi aesa hai. Ye eik scientific aur biological reason hai keh hamara zehen khali nai reh sakta, ye kuchh na kuchh sochta rehta hai. Aur agar ham gor karen, jo log Quran ke kuchh bhi hisse ka tarjuma yaad rakhte hain, jab uski namaaz mein tilawat ho rahi hoti hai to wo uske tarjume ko zehen mein laate hain. Aur is amal ko qabile tehseen samjha jata hai. Kya aap unse bhi yahi kahiye ga ke “jab aap Quran ki tilawat ke tarjume ko namaaz mein apne zehen mein la rahe hain tab aap khuda ke alfaaz aur uske tarjume ke beech tawajjo ko taqseem kar rahe hain.” Nahi yahan tawajjo badh rahi hai. Aur ye gair-mehsoos tarike se hota rehta hai. Jab ham namaaz mein jo hissa Quran ka tilawat ho raha hai, uske tarjume ko yaad rakhte hain aur use zehen mein laate hain, isse khuda ke alfaaz ke taraf hamara tawajjo badh jaata hai.
Is application ka bhi yahi maqsad hai ke kisi ko disturb kiye begair, namaaz ke protocol ko tabdeel kiye begair, khuda ke alfaaz ki taraf tawajjo badhai jaye. Usi tarha jis tarha ham Quran ke kuchh hisse ka tarjuma yaad rakh kar, uski tilawat ke waqt apne zehen mein laate hain aur gair-mehsoos tarike se wahi ho raha hota hai, jo is application ka hadaf hai.