-
Differences Between Ghamidi Sahab And Modudi Sahab On Parda
Asalamualikum Ghamidi Sahib, Allah pak app key Izaat ur Ahtram main aur izafa farmay, Main app key iss video key 42 minute per honey wali behas per kuch seekhna chahata hoin, Jis main app ney kaha key Mulana Modudi Sahib ney jo Aqali Istadlal kiya hey Quran-e-Majeed key alfaz uss ko kubool nahi kartey, Iss baat key roshni main Main sekhna chahata hoo key,
Phir IJTIHAD Kiya hey? Agar aj key door main kisi Islami Mulk per kafir ur munafeqeen khulam khula kabiz hojain ur waha key khawateen per (Allah Na Karey ) tohmat lagain jin key sirf haath pair ur chahara hi nazar ata ho tu kiya Aqal ka isstamal kar key ham un ko mukamal topi wala burkha ur chaar diwari ka parda karney ko na kahain, Sirf iss liyeh key hamara yeh iqdam Quran-e-Majeed key alfaz qobol nahi kaarta ? Ur Agar Quran-e-Majeed Key Ayat ka lafzi tarjuma hi Allah ko matloob hey phir Hazoor (S.A.W) ney IJTIHAD key targheeb Sahaba ko kuin dee jab woh Islam ka pegham dosaey mumalik main phelaney key liyeh ja rahey they?Main app key ray iss barey main jannana chahata hoo
Meri apni naqis ray tu yeh hey key Quran-e-Majeed aik Hikmat key Kitab hey jis key haar haar baat ur waqiyat Allah ney iss ilyeh irshad farmay hain key Ulama-e-Iqram haar door main iss sey mojoda halat key peshenazar Quran-e-Majeed key roshni main Aqal ko istemal kar key apni hifazat hur tarakey key behata nataij hasir kar sakain. Warna tu aj key door key kafir and munafqeen bhir wohi baat kahain gey key, Nauzbilah Quran-e-Majeed Sirf poraney waqiyat kee book hey.
Commenter: @khawajaimranqaisar3458
Source: https://www.youtube.com/watch?v=kZtRqO1ur8U&list=PLvDnnnkYLWQcIGmJ14ZWdFkArEl3DCe5n&index=9
Sponsor Ask Ghamidi