Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Iqamat E Deen

  • Iqamat E Deen

    Posted by MUHAMMAD YOUSAF ALI on June 12, 2025 at 11:42 am

    Ustaad e Muhtram. Quran me tamaam Anbiyaa ki Dawat unk waqt k Sardaar Badshaah ya mazhbi Leadero se directly mukhatib hooti thi agr Tazkiya e nafs k liye hi Anbiyaa aaty tu wo nichly tabqay k loog tu kaafi Anbiyaa k saathi ban jaaty rahy apny apny waqt me. Aur Quraan me Intzaami amoor pr Sazaao ka zikar aur Quran me Doolat ki taqseem aur control ka zikar Quran me Baadshaho se Anbiya k dialogs ka zikar Gharz Rasool Allah SAWW bhi makkah se Habshaa chaly jaaty Najaashi k pass hi agr tazkiyw e nafs maqsood hoota. Wo Madina jaa kr Riyasat Qaim krty phir waha tk nhi ruky pooray Arab me tableegh se nhi Hakoomat ki Taqat se Zaalimo ko Takhat se utaara . Ustaad e muhtram Quran aur Sunnat hamy Saaf bataa Rahi hm ny jido jehad krni Deen k Nafaaz ki jo k tamaam Anbiyaa ki sunnat ha Aap kahty hm ny Tableegh Ekhlaaq aur Tazkiyaa e Nafs me zindgiyaa Guzaar kr Mar jaana bass. AApki kitaab mezaan me Totally Nafi bhi nhi ha aur iqraar bhi nhi es point pr me bohat confused ho gaya hun ke Aap es pehloo ko shuruu se hi etny ghair eham kiss buniyaad par Qaraar daity hen. JAZAAK-ALLAH

    Dr. Irfan Shahzad replied 3 weeks ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Iqamat E Deen

    Dr. Irfan Shahzad updated 3 weeks ago 2 Members · 1 Reply
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar June 14, 2025 at 3:11 am

    تزکیہ نفس سرداروں اور بادشاہوں کی بھی ضرورت ہے۔ سماج کے تمام طبقات کو مخاطب کرتا ہے نبی۔ سبھی کو تزکیہ نفس کی دعوت دیتا ہے۔ اسے ریاست بنانے کا موقع نہ ملے تب بھی یہی کرتا ہے اور موقع مل جایے تو ریاست بنا پر بھجی یہی کرتا ہے۔

    دین کو واقعات سے نہیں اس کی تعلیمات سے سمجھا جاتا ہے۔ قرآن مجید نے دین کا جو مقصد بتایا ہے وہ دیکھیے کہ کیا ہے وہ تزکیہ نفس ہے اسی پر فلاح کی بنیاد رکھی گئی ہے۔

You must be logged in to reply.
Login | Register