-
Confusion About Life’S Purpose
Assalam o Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuh,
Sab se pehle main apne mumkin tor par saadah ya nadanistah sawalat par peshgi mazirat chahta hoon, magar yeh mere liye nihayat aham aur fikri noiyat ke sawalat hain.
Mera bunyadi sawal zindagi ke maqsad se mutaliq hai.
Sab se pehle yeh jaan’na chahta hoon ke kya yeh sochna hi durust hai ke zindagi ka koi ek wazeh maqsad hona chahiye? Ya phir yeh sawal hi ghair zaroori hai? Agar yeh sawal durust nahi to kya behtar tareeqa-e-fikr yeh hona chahiye ke insaan zindagi mein pesh aane walay halaat aur waqiaat ko Allah ki di hui hidayat ke mutabiq sambhalta rahe, baghair is ke ke woh zindagi ke kisi baray maqsad ko mutayyan karne ki koshish kare? Yani ek qisam ki “go with the flow” zindagi.
Lekin agar yeh sawal durust hai to phir kya har insaan ko apni zindagi ka koi maqsad talash karna ya mutayyan karna chahiye? Ya Islam ne pehle hi yeh maqsad wazeh kar diya hai ke Allah ki bandagi aur makhlooq ke saath bhalai hi asal maqsad hai?
Hum yeh bhi dekhte hain ke deeni taleemat mein bazahir dono tarah ke pehlu miltay hain:
Ek taraf yeh tasawwur milta hai ke Allah ne koi cheez be-maqsad paida nahi ki.
Doosri taraf yeh taleem bhi milti hai ke insaan jis haal mein rakha gaya hai, usi par raazi rahe, shukar kare aur Allah ki hidayat ke mutabiq zindagi guzare.
Tareekhi tor par bhi humein do mukhtalif rawaiyat nazar aati hain:
Kuch logon ne maqsadiyat ko is andaaz mein apnaya ke us se kuch sakht aur inteha-pasand tehreekain wujood mein aaein.
Jab ke kuch logon ne deen ko zyada tar “go with the flow” andaaz mein samjha aur apnaya.
Main, batour ek Muslim, is confusion ko wazeh karna chahta hoon ke:
Kya Islam waqai insaan ko koi wazeh zindagi ka maqsad deta hai ya sirf rehnumai (hidayat)?
Agar koi maqsad hai to woh kya hai?
Aur agar sirf hidayat hi asal cheez hai to kya humein maqsad ke ta’ayyun ki fikr mein parna chahiye?
Agar insaan baghair kisi wazeh maqsad ke zindagi guzare to aksar dil ka sakoon aur ma’nawiyat kyun mehsoos nahi hoti?
Aur agar koi maqsad mutayyan ho jaye to us se itminan-e-qalb aur andruni sakoon kyun paida hota hai?
Aap ke jawab ki bunyaad par main apni zindagi ke rukh ka ta’ayyun karna chahta hoon:
Ya to main Allah ki hidayat ko samne rakh kar koi bara maqsad mutayyan kar ke apni zindagi us ke liye waqf karoon,
ya phir sirf Allah ki hidayat ko mayaar bana kar halaat ke mutabiq zindagi guzaron — yani jo muamlaat samne aayein unhein Shariat ki roshni mein deal karta rahoon.
Aap ki rehnumai mere liye nihayat qeemti hogi.
JazakAllah khair.
Sponsor Ask Ghamidi
Sorry, there were no replies found.