-
If God Already Knows Then Why Put Some People Through Test Of This Life?
Refer to Surah Kahaf, Atar 74 and 80.
Agar Khuda ko pehle hi pata hota hai ki aage jake kon bad kirdar ban jayega ya sangeen jurm karega(e.g. a tyrant King), to jo bade hoke Gunah karte hain, wo khuda se ye shikwa na kareinge ki Jis tarah Khazir AS ne us bache ko pehle hi ma ar dala tha , hamein bhi pehle hi maar dalte aur hum gunah karne se bach jate. Ye khayal bhi kabhi kabhi aata hai ki wo bacha kitna khush kismat tha ki bachpan mein hi isse maar dala gaya aur wo gunah se bach gaya. Jin bachon ko Zinda choda jata hai aur aage jake wo sangeen jurm karte hai, un k liye ye nainsafi nahi hogi ki un ko zinda choda gaya agar Allah pehle hi janta tha ki ye jurm karne wale hain jaise us bache ka Ilm Hazrat Khazir ko diya tha?
Sponsor Ask Ghamidi