-
Mazarun Se Shifa (Shrine Visiting)
Asslamu alaikum. Pakistan mein yeh aam hai k loag mukhtalif bemaryun se shifa k liye makhsoos darbarun/mazarun par jatay hein. Hr jagah koi mazar ksi khas bemari se shifa k liye mashoor hota hai. Darbar pr koi peer ya buzrug bhi nhi hota jo dam krta ho ya taweez daita ho. Blkay sirf makhsoos tadaad mein hazri daini hoti aur hazri ka din bhi har ek darbar ka khas hota hai yani kahin Jummarat aur kahin itwar ya mangal.
Mazar per se jalnay walay diyyay ka tail ya matti ya pathar waghaira jism par lgatay hein ya gandam aur chawal darbar pr rakh k atay hein.
Kya yeh sab jaiez hai ???
Aur mjy sab se ziada uljhan is bat ki hai k mene beshumar logu ko sehtyab hotay daikha hai. Khas kr skin diseases aur ankhun k dard / joints pain.. is tarah k patients ko mene khud tandrust hotay daikha hai.
Deen ki roashni mein rahnumie ka talabgar hun..
Jaza KALLAH khair…
Sponsor Ask Ghamidi