Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Halat E Janabat Me Moat

  • Halat E Janabat Me Moat

    Posted by Salman Khan on November 28, 2020 at 1:20 pm

    Assalam o alaikum Ghmidi sahib!

    Me ne aksar suna hai k agar koi banda halat e janabat me mar jaye to wo direct jahanum jayega. To mera sawal ye hai k agar koi shakhs rat ko khud lizzati kar lay ya biwi se jima kar lay to usay raat k usi waqt nihana chahye ya subah ka intizar krna chahye. Agar usne khud lizzati kiho aur wo is niyat se so jaye k subah ghusal kar k nimaz ada karunga aur uski moat ho jaye to us k sath kia hashar hoga ? Is ka jawab de jiyega. Shukriya.

    Umer replied 4 years ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Halat E Janabat Me Moat

    Umer updated 4 years ago 2 Members · 1 Reply
  • Umer

    Moderator November 29, 2020 at 6:48 pm

    Asooli tor pai har insan ko pak saaf rehna chaiyai laikin is tarah ka koe asool nhi hai kai banda jahannum main jayega. Jannat aur Jahannum main jaanay ka qanoon Quran main bhot wazahat sai bayan hua hai. Doosra yai kai riwayaat sai pata chalta hai kai Nabi (sws) bh kabhi ghusal moakhar kar daitay thay janabat ki halat main.

You must be logged in to reply.
Login | Register