Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islam And State Hazrat Umar Ki Persians Aur Romans Kay Khilaf Jangain

  • Hazrat Umar Ki Persians Aur Romans Kay Khilaf Jangain

    Posted by Ahmad Arshad on November 28, 2020 at 1:57 pm

    Assalamoalaikum. Hum jantay hyn k aik waqt aesa aaya jab Allah Ta’ala nay azaab kay torr per mushrikeen e Makkah per sahaba karam aur Hazrat Muhammad(saw) ko musallat kardia aur un kay khilaf baqaida qittal kia gaya. Hum suntay hyn k Hazrat Umer ny bhi bht sy mahaz fatah kiye aur Roman aur Persian empires ko zabardast nuqsan pohnchyaa. Agar qital ka wo hukm aarzi torr par aik makhsus groh k khilaf tha jesa kay aap kay nizam e fikr men discuss kia jata hay to Hazrat Umar ki fatoohaat ki hesiyat kia thee?? Q kay Hazrat Umar ki fatoohat ko Hazrat Muhammad(saw) nay directly lead nai kia aur na hi Romans aur Persians per hujjat tamam hui thee. Kia hazrat umar ki jangain iss baat ki daleel nai hyn kay islam kay ghalbay ki jehd e musalsal hmaray goals men shamil hona chahie?

    Faisal Haroon replied 3 years, 12 months ago 2 Members · 2 Replies
  • 2 Replies

You must be logged in to reply.
Login | Register