mera view ye hai ke,pehle to zehen me ye baat hone chahiye ke no descrimation,or taqwa ki baat hame kon sekhata hai,hamara khuda,or aap usi pe ungli utha rahe hai,vo taqwe ki bina par hi maqaam ata karega,iska hame yaqeen hona chaheye,imaam hasan or husain ki zindigiyon par ghaur kareye ,unki walida hazrat fatima,hazrat kadija jannat me aurton ki sardar hai,rasulallah ne ek mauqe par hazrat fatima se farmaya ke mera walid hona tumhare kaam nahi ayega har insaan amaal ki bina par hi jannat me jayega,to ye baat ham or aap ko sunane ke liye hi kahigaye hai,ke ham ye qatai na samjhe jo aap ne samjha hai. jo answer sir ne diya usse baat pure tarha samajh aati hai janat me jannatiyon ke ketne groups honge hame nahi pata,kiska kya muqam hoga ham nahi kah sakte jab vaha jayenge tab hi pata lagega to hamara focus sahi deen ko samajhne me,rab ko razi karne me or jannat tak pahchne me hona chaheye.