Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Ibadat

  • Posted by Muhammad Ahmed on December 10, 2020 at 9:39 pm

    Ye kaha jata hy k ibadat ki asal aajzi aur pasti ko mehsus krna hy. Khuda ki siffat ka shaoor rkh kr uske sth muhabbat aur khof k jazbay k sath dil ka aajiz hona. Is taalluq ka naam ibadat hy. Aur yhe iski asal hy. Phir ata’at iska lazim taqaza hy. Ikhlaqi lihaz se bhi. Mgr ye baat sch hy k taqazay puray kbhi na b hon kisi baat k. Jese ishq ya phr koi aur taalluq. Toh us ki asal khatam nahi hojati.

    Toh quran ata’at ki base pr kiun kehta hy k logon ne apni khwasihon apne scholars ko shaitan ko etc etc ilaah bna lia hy. Halaanke wahan wo ajzi aur pasti ka taalluq qaaim nahi hua. Haan ata’at hy. Mgr ata’at ibadat ki asal to nhi hy. Ghamdi sahab ki maulana moduudi ki tabeer pr tanqeed hi is point pr hy k unhon ne ata’at jo zahir hy aur taqaza hy usko asal rkh kr ajzi aur pastii ko secondary krdia jis se saray maslay wajuud me ae. Toh hum quran ki in baton se kia smjhen phir.

    Fatima replied 4 years ago 2 Members · 5 Replies
  • 5 Replies
  • Ibadat

    Fatima updated 4 years ago 2 Members · 5 Replies
  • Fatima

    Member December 11, 2020 at 1:50 am

    aap ka question jitna mere samajh me aya hai us lihaaz se,quraan ke jis baat ka hawala aap de rahe hai (khwahisho ko aapna rab bana liya)iska matlab mere nazar me ye hai ki ham khawahishon ke aage itne lachar aur bebas ho jate hai ki unki pairve karne lagte hai,itaat karne lagte hai agar che ibaadat kisi aur ki kar rahe hai,ibaadat ke baqi norms ko follow nahi kar rahe.mere khayal se aajizi,pasti,ataat ye sab ibaadat ke part hai,jiski ibaadat ki jaye uska haq hai ke ataat bhi usi ki kijaye,lakin jab aajizi,pasti,aataat,is had tak ho ke insaan aapne rab ko bhul kar khwahishon ke pheche chalne lage to ibaadat ab sirf naam ki hi rah gaye,logo ne shaitan ke pairve karke ise apni asal jagah se hata diya.jaha tak mere samajh hai,baqi scholars behtar bata sakte hai.

  • Muhammad Ahmed

    Member December 11, 2020 at 3:04 am

    Aajzi pasti muhabbat khof ye sb dil se baatin se related hain. Aur ata’at zahir se. Islie inko ik e category me nhi rkha ja skta. Ik khuda shanas insan bhi aksar khwaishon aur shaytaan ka tabeh hojata hy. Unki ata’at kr guzrta hy. Shayad quran ne un logon k baatin k haal ko hi bayan kia hy. K unhon ne wo dili rishta in chezon se qaim krlia jo k ik ilaah se kia jata hy. Khuda ki jga hi hmri society me ajkal insan khwaishen state etc lechuki hain.

  • Fatima

    Member December 11, 2020 at 3:36 am

    mere liya ye sari baate ek hi catagory me aati hai kyunki ek khuda parast insaan khwahishon me ya shaitan ke kahe me kabhi kabhi aajata hai lekin use jald hi realize ho jata hai or vo khuda ke taraf ruju karta hai ye to neik insan ki khubi bayan hue hai lakin nafs ki pairve karne wala usme badhta chala jata hai yaha tak ke sahi or ghalat ka farq bhi na kar paye or uske taabe hojaye ye baat shayad aise he logo ke liye kahe gaye hai.

  • Muhammad Ahmed

    Member December 11, 2020 at 10:46 am

    Ghamdi saab ne e kahin iski examply shadi k rastay se de k smjhai thi. K shadi k rishtay ki asal admi aur aurat k darmiyan jinsi jazba hy. Uske baad unke bech taalluq bnna aur uske baad uska nateeja ik dusre ki baat manna ata’at krna niklta hy. Ye ata’at nateeja taqaza aur zahir hn. Lekin shadi k rishtay ki asal wo jinsi jazba hy. Agr wo hi nhi hoga to ye rishta nhi qaim hoskta. Koi kisi ki chahe ata’at krle. Mgr jb istilaah ik istemal hogi. Jese shadi ya ibadat. Toh uske asal k lihaz se baat ki jarhi hogi. Abd aur mabuud ka rishta bhi kch asal pr mabni hn. Jb hum isko sirf is tra interpret kren k ye ata’at pr mabni hy to maslay paida hotay hain…

  • Fatima

    Member December 11, 2020 at 11:37 am

    pata nahi aap confuse hai ya ham,hame lagta hai aapne baat context se hatadi hai,baat manna itaat karna koi ghalat kaam nahi hai ham aapne waliden ki,ghar ke buzurgo ki itaat karte hai lakin agar is itaat me khuda ki nafarmani ho to ye ghalat hogi,is itaat ka matlab parastish nahi hota.

You must be logged in to reply.
Login | Register