-
Why Denying First Condition To Marry Stepdaughter?
Surah An-Nisa Ayat 23 me pehli shart ye hai k “Or tumhari biviyo ki larkiya haram ki gai hain jo tumhari ghodo me palli hain”
Mere Jaleel ul Qadar Ustad Muhtaram Ghamidi sahab or Islahi sahab is shart ko shart nahi samjhte lekin aqli toor par ye ek maroof haqeeqat hai k is cheez ko bura samjha jata hai or Quran me ye shart saaf alfazo me bayan ho gai or is shart ko na maane k jo dalael hain mujhe wo tasali baksh nahi lage. Jab ek bete ki parwirsh se us ki razai maa haram ho gai us k liye to ek beti k parwirsh pe us ka baap kis tarah halal ho sakta hai?
Me jo bat samjha ho wo ye hai k 1st condition hi yahi hai k wo larkiya ghodo me na pali ho matlab aap k agosh me na parwarish pai ho phir un ki maa se b jasmani taluk na peda ho tab jaa kar un se shadi karna jaiz hai.
Agar me galat samjha ho to please meri rehnumai kar dein.
Jazak Allah Khair!
Sponsor Ask Ghamidi