-
Seedha Rasta Kiya Hai?
Someone asked me to get the answer. I wish to ask this in live conference but due to odd timings in Pakistan, I am not able to so I would appreciate if this question could be asked directly from Ghamidi sahab.
Pasting the question as it is;
“Jab hum deen ki taraf atey hain aur samjhte hain parhte hain aur sath mai Allah se dua krte hain k jo seedha rasta hai hamai woh dikhain.jo bhi cheez hum samjhte hain agar dil se satisfaction milti hai hum qabool krte hue agey chalte rehte hain is yakeen k sath k hum apni koshish se aur Allah ki madad se seedhay rastey pe hi hain.
laikin yei tarz e amal baki firqo k logon ka bhi rehta hai aur unhe bhi yei lagta hai wohi seedhay rastey pey hain. phir hum jab dekhte hain humari raaye dusre firqo k logn ki raaye se mukhtalif hai and vice versa toh humai kaise yeh maloom hoga k Allah ki madad kisko hui hai?
har firqay k logn ko lagta hai k wohi seedhay rastey pey hain to yeh cheez mjhe boht ziada confuse krti hai jab bhi ma deen ki koi nayi cheez parhti hu aur phir baki ulema se counter check krti hu to confusion ajati hai. Agar dil ka sukoon aur satisfaction hi ek sign hai k aap seedhay rastay pe hain to yeh kaifiyat to har firqay k logn ko milti hai aur unhe phir lagta hai unhe hi Allah hi madad mili hai aur seedhay rastay pe hain. mai iska logical pehlu janna chahti hu”
mera firqo se muraad Muslim community k hi firqay. laikin kuch firqo ko gair muslim qarar dediya gaya hai Pakistan ma, aap sab ko andaza hogia hoga ma kiski baat kr rai hu”.
Shukriya!
Sponsor Ask Ghamidi